Sunday 29 January 2012

TRIAL BY FIRE

Namaskar - Cinema Review mein - main Bhawana Somaaya - aapka
swagat karti hoon.


Iss hafte - sirf ek release hain - Dharma Productions ki Karan Malhotra
directed Agneepath- jo Mukul Anand directed 1990 Agneepath ka
remake hain.

Goa ka chotte gaon - Mandwa mein - Deenanath Chavhan - ek
adarshwadi school master hain - jisse Kancha Cheena - purre gaon
ke samne - berehmi se qatal kar deta hain!

Iss haadse ke baad - Vijay ka pariwar - Mandwa chhodkar Mumbai
Docks mein bas jaata hain.

Vijay Mumbai ke drug lord Rauf Lala ke saath jud jata hain - aur apne
baap ke qatil se badla leneka - sahi samay ka intezar karta hain…
15 saal beet jaate hain…

1990 mein banayi gayi Agneepath -aaj bhi Amitabh Bachchan ki
career defining filmon mein ginni jaati hain…

Technical wizard Mukul Anand ki story aur character presentation -
uss daur ki filmon se hatkar – aur pathbreaking filmon mein mana jaata hain.
Karan Malhotra ki Agneepath thodi old fashioned hi sahi – lekin
masala film hain..

Dono filmein anyay se shuru hoti hain - magar jahan 90s ki Agneepath
- dard aur sunghursh ki kahani hain 2012 ki Agneepath - gusse aur
khoon kharabe ki kahani hain.

Nayi Agneepath mein - do major drawbacks hain…
Pehla - character deficit :
Amitabh Bachchan ka Vijay Chavhan - criminal hote huye bhi -
beimaan nahi hai !
Hrithik Roshan ka Vijju - dagabaaz bhi hai aur immoral bhi - jiski
wajah se audience character se empathise nahi kar pati.

Doosra - spirit of revenge - director Karan Malhotra - drama se zyada
- action par dhyan dete hai – Isi liye film mein emotion quotient ki
kammee lagti hai.

Dono filmon ke bohat saare sequences similar hai magar nazariya
alagh hai…

Danny Danzongpa ka Kanch Cheena - ruthless aur evil hai…Sanjay
Dutt ka Kancha Lanka ka wrestling Ravan hai..!

Amitabh ki maa - Rohini Hattangady - adharm ke khilaf hai…Hrithik ki
maa -Zarina Wahab- uttejna ke khilaaf hai...

Mana ki nayi presentation hai aur naye superstars - mana ki item
numbers ka zamana hai -magar kya wholesome entertainment ke liye
- child victimization -women abuse - drugs - slum lords' aur excessive
violence ka mishran zaroori hai..?

Film mein ek bhi aisa hathyaar nahi hai - jo istimaal nahi kiya gaya
- phir wo haath paun - muqqa - kaanch - dori - bomb -gun -rifle -
chakku - lakdi -chain - bamboo - pathar - paani - ya agni…

Film bohat lambi – aur verbose hai - Dongri chawl ka set -
exaggerated lagta hai.

Mandwa ke jis ped par Masterjee ko tanga tha - wo ped 15 saal ke
baad - bhi - sukha hai…

Unka viran jhopda jisse Kancha ne jala diya tha - aaj bhi adha adhura -
jaisa ka waisa hai…

Gaon ke mukhiya ne 15 saalon mein apni paghdi nahi badli - aur
Sanjay Dutt - itne saalon mein - na buddhe hue na kamzor …

Poore gaon mein utne log kabhi bhi nahi dikhe - jitne Katrina Kaif ke
item number mein…

Film ke favour mein - main kahungi - ki Hrithik aur uski behan ka
rishta effective hai - Priyanka Hrithik ki chemistry aur romantic
sequences palpable hai.

Ajay - Atul ka music subject ke hisab se hai- aur saare performances
badhiya hai!

Khas taurpe Rauf Lala ki bhumika mein - Rishi Kapoor - scene stealer
hai!

Hrithik Roshan ne Vijay Deenath Chavhan ko ek naya roop diya hai -
aur ye hi samajhdari hai !

Dharma Productions ki nayi Agneepath ko milte hai 3***/ stars.

The review appears as it is on Cinema Review on Zee Cinema, Fridays 9PM.
In an edited version over weekends on 92.7 Big FM

Tuesday 17 January 2012

Review - Tuttuya Dil, Chaalis Chaurasi, Ghost, Sadda Adda


Namaskar- Cinema Review mein - main Bhawana Somaaya - aapka swagat karti hoon.
Iss hafte chaar releases hain - Romantic - Tuttiya Dil - thriller comedy -Chaalis Chaurasi- horror - Ghost aur social - Sadda Adda. 



Pehle baat karte hain Chaalis Chaurasi ki:

Amiya Mhaiskar produced aur Hriday Shetty directed Chaalis Chaurasi - police van ka number plate hain - magar kahani - police se zyaada char choron ki hain.

Pehla chor - Sir - yaane Naseeruddin Shah - jawani mein college professor thhe - magar ab chauffer hain...

Kyon ki wo saab ki biwi ko English padhate hain - Bhabhiji unko Sir bulati hain.

Doosra - Albert Pinto - yaane KKMenon - shehar ka sabse bada car thief hain -aur Fiat model dekhte hi Pinto ka dil dhak dhak karne lagta hai.

Teesra -Bobby - yaane Atul Kulkarni - banna chahta the singer - magar ban gaye ladkiyon ka manager.

Chautha - Shakti Chinnappa - yaane Ravi Kissan - drug dealer hain aur chahte hain ki iss dhande ka woh badshah bane!

Charon dost jald se jald ameer banne ka plan banate hai - aur sabse pehle police station se hi van uthate hai.

Kahani ek raat ki hain - aur Writer Yash Vinay kahani mein bohat saare twists & turns aur masala milate hai.

Kuch dialogues entertaining hai - kuch sequences engaging hai - chaar performing heroes - do zabardast villains - aur ek theek thak kahani ke bawajood - baat nahi banti!!

Patta nahi kyon filmmakers ko lagta hain - ki film mein Item Number dalne se - sab theek ho jayega…!

Ye sach nahi hain...!

Aur wo bhi aisa Item Number - jahan ladki apne aapko  - hooka - beedi - matka - soda -bottle -whiskey bataye...

Auraton ke baaremein aise offenssive lyrics likhneke liye - aur Censor Board ko aise khayyal pass karne ke liye - hum virodh karte hain.

Chaalis Chaurasi ko milte hain 2 ** stars. 
____________________________

Horror film ka matlab hain audience ko darana!
Magar hamari horror filmein - darrati kum aur hasati zyada hain.

Bharat Shah produced aur Puja Bedi Ghost - ek khatarnak - disfigured - brutally assaulted - bhoot ki kahani hain - jo kabhi bhi - ghanne jungle ya - immaraton se nikalkar aata hai.
Wo bandh kamre mein basta hain - bathroom ki chatt par intezar karta hai - aur terrace par tahalta hai…

Uski favourite location hai - City Hospital - aur favourite samay hai - raat ke 3 baje…
Uska attack nirala hai...Wo pehle apne shikar ki aankhen chirrta hain - phir uske dilko seene se alag karke bahar phenkta hai.

Bhooton ki film hai - to zahir hai - ismen bhi darwaze apne aap khulte aur bandh hote hain…
Chai ki pyaali apne aap maiz par ghumti hain - ajeeb ajeeb awazein aati hain…

Ghanti bajti hai- bahar koi nahi hota - saanse sunayee deti hai - andar koi nahi hota…
Sayali Bhagat doctor hai -magar model jaise kapde pehankar ICU ward mein night shift karti hai.

Shiney Ahuja detective hai - magar case se zyada wo night club aur romance mein dhyan dete hain.

Do ghante ke khoon kharrabe - swarag narak - bhagwan shaitan ke lambe bhashan ke baad - finally case solve hota hai!

Bahar nikalkar ek khayal aata hain…

Purani mystery movies mein - ek definite kahani hoti thi - aur iske beech - suspense moments hote thhe.

Aaaj ki Horror filmon mein - darawne images pehle soche jaate hain - aur iske beech - ek jooth muth ki kahani jodi jaati hai.

Aisi hi jooth muth ki kahani Ghost ko milta hai 1* star. 
____________________________

Aakhir mein Sadda Adda:
Aaye din jawan ladke - bade shehron mein - apni kismet azmaane aate hai.

Sadda Adda - aise paanch ladkon ki kahani hain - jo Noida-Dilli mein kaam dhoondhne aaye hain - aur saath milkar ek apartment share karte hain.

Sabke apne sapne hain - aur ghar mein saath rehne ke kuch kayyde...
Jo chai banata hai - wo bistar  nahi uthata - aur jo kapde dhota hai  - wo khana nahi banata…!
…Wo ladte hain- party karte hain - ek doosre se paise - cigarette aur shirt churate hain - aur samay aane par ek doosreka sahara bhi bante hain…!

Ek Actor bannna chahta hai - doosra MBA ki pariksha de raha hai - teesra Engineer hai- designs banata hai - chautha Marketing ki naukri dhoondta hai - aur paanchva Water Filters bechta hai.

Writer director Muzzam Beg ek achi kahani ke saath saath -paanchon kirdar ke saath nyay karte hain.

Film ka first half - kyon ki itne saare characters se pehchaan karata hai - thoda lamba lagta hain…

Magar interval ke baad- hum characters ke saath involve ho jaate hai…

Unki khushiyaan aur kamyaabi ka humme intezar rehta hain…

Film ka last scene film ka best scene hain!

Saare performances aur khas taurpe - film ka sandesh - aaj ki yuvva peedhi ke liye ek misaal hai…

Hazaron mushkilein kyon na aaye - aap ke sapne aur aap ke beech - aap ke sivay koi nahi aa sakta!

Ye immensely positive aur inspiring message ke liye - Sadda Adda - ko milte hai 3 ***stars. 

To ye thi iss hafte ki releases- agle hafte phir mulakat hogi - tab tak ke liye mujhe dijiye ijaazat - Namaskar.  
____________________________

The review appears as it is on Cinema Review on Zee Cinema, Fridays 9PM.
In an edited version over weekends on 92.7 Big FM

Monday 9 January 2012

We need better PLAYERS


Namaskar - Cinema review mein - main Bhawana Somaaya - aapka swagat karti hoon.  



Iss hafte sirf ek release hai - Studio 18 aur Burmawala Partners produced - Abbas Mustan directed Players - 2003 Hollywood blockbuster Italian Job - ka official remake hain.



Film ka pehla ghanta - sirf characters establish karne mein jaata hai - iske bawajood humme characters poori tarha se samajh mein nahi aate.

Charlie - yaane Abhishek Bachchan -  kabhi Chartered Accountant hain - aur kabhi- khatarnak chor.

Naina - yaane Sonam Kapoor - computer expert hain aur professional hacking mein Masters kar chuki hain.
Ronnie - yaane Bobby Deol - peshe se illusionist - matlab jadugar hain - magar jadu chodkar - chori ko apna kaam bana chuke hain.

Riya -yaane Bipasha Basu - Charlie ki crime partner hain - aur saath hi mein automobile expert bhi.
Bilal -yaane Sikander - bomb aur firrang gaadiyon ka shauk farmate hain.

Sunny-yaane Omivaidya - Prosthetic expert hain jo actor banna chahte the -magar ab mukhwate banate hain.
Ye detailed characterizations ko sunkar lagta hain ki ek bohat dilchasp kahani dekhne milegi.
Magar aisa kuch nahi hota…!

Na hi kahani mein koi twist aata hain - aur na hi characters dilchasp saabit hote hain.

Charlie - agar team ka leader hai - aur itna bahdur hai - to wo baar baar musibaton mein kyon ulajh jaata hai…?

Naina agar adarshvaadi hai -  to jis baat ke liye wo apne pita se naraaz thi - unke jaane ke baad wohi kaam ko kyon apnati hain…?

Bilal ko sab 'behra' bulate hain - magar usse sab sunay deta hain.

Aftab Shivdasani ek scene ke baad marta hai - Vinod Khanna chaar scenes ke baad - aur Bobby Deol paanch scenes ke baad...!

Kabhi Mumbai se Goa - kabhi Goa se Russia - kabhi Russia se New Zealand - saare kirdaar - sone ki talash mein - yahan se wahan bhagte phirte hain.



Unko har desh mein aasani se kaam mil jaata hai...
Wo chuttkiyon mein deals karte hai...
Aur laptop ke kuch keys punch karne se beech sadak  traffic control karte hai...
Wo Russian General ko behosh kardete hai... Buildings aur tunnels ko tehas mehas kar dete hai...
Aur jab unka man chahe to bomb ka istimaal karte hai…
Tajjuk ki baat ye hai ki ye saari  harkaton ke bawajood - na sarkar ko unse shikayat rehti hai aur na hi police kabhi unke peeche lagti hai...!

Film mein sab kuch hai -train ki jitni lambi gaadiyaan -
Mahal jitne bade ghar - Khupsurat ladkiyaan - Shaukeen kapde aur sajawat…
Zabardast special effects - action - crazy car chase - private jetplanes - train  robbery- bharpoor masala - glamour aur fabulous locations...

Kuch dialogues achhe hain aur kuch shot takings lajawab hain.
Saare actors mein Neil Nitin Mukesh ka sabse important role hai aur Johnny Lever ka sabse bahtareen performance.

Directors Abbas Mustan  thriller genre  ke raja hai.
Baazigar, Humraaz, Ajnabee ya Aitraaz -unki filmon mein kahani bhi hoti thi - aur craft bhi.
Players mein na kahani hain - na suspense - na music - aur na hi samajh mein aanewale gaane...!

Kaash… film mein ek engaging story hoti - rights kharidi hui nahi - dil se sochi hui kahani!  Kaash…film mein kuch to believable baat hoti -taaki sab kuch jootha nahi lagta!
Players  dil aur dimaag se zyaada - computer se communicate karti hai- isliye shayad audience se connect nahi kar paati.

Players ko milte hai 2.5 stars. 

Cinema Review / Zee Cinema Friday 9PM
92.7 Big FM Saturday-Sunday