Monday 9 January 2012

We need better PLAYERS


Namaskar - Cinema review mein - main Bhawana Somaaya - aapka swagat karti hoon.  



Iss hafte sirf ek release hai - Studio 18 aur Burmawala Partners produced - Abbas Mustan directed Players - 2003 Hollywood blockbuster Italian Job - ka official remake hain.



Film ka pehla ghanta - sirf characters establish karne mein jaata hai - iske bawajood humme characters poori tarha se samajh mein nahi aate.

Charlie - yaane Abhishek Bachchan -  kabhi Chartered Accountant hain - aur kabhi- khatarnak chor.

Naina - yaane Sonam Kapoor - computer expert hain aur professional hacking mein Masters kar chuki hain.
Ronnie - yaane Bobby Deol - peshe se illusionist - matlab jadugar hain - magar jadu chodkar - chori ko apna kaam bana chuke hain.

Riya -yaane Bipasha Basu - Charlie ki crime partner hain - aur saath hi mein automobile expert bhi.
Bilal -yaane Sikander - bomb aur firrang gaadiyon ka shauk farmate hain.

Sunny-yaane Omivaidya - Prosthetic expert hain jo actor banna chahte the -magar ab mukhwate banate hain.
Ye detailed characterizations ko sunkar lagta hain ki ek bohat dilchasp kahani dekhne milegi.
Magar aisa kuch nahi hota…!

Na hi kahani mein koi twist aata hain - aur na hi characters dilchasp saabit hote hain.

Charlie - agar team ka leader hai - aur itna bahdur hai - to wo baar baar musibaton mein kyon ulajh jaata hai…?

Naina agar adarshvaadi hai -  to jis baat ke liye wo apne pita se naraaz thi - unke jaane ke baad wohi kaam ko kyon apnati hain…?

Bilal ko sab 'behra' bulate hain - magar usse sab sunay deta hain.

Aftab Shivdasani ek scene ke baad marta hai - Vinod Khanna chaar scenes ke baad - aur Bobby Deol paanch scenes ke baad...!

Kabhi Mumbai se Goa - kabhi Goa se Russia - kabhi Russia se New Zealand - saare kirdaar - sone ki talash mein - yahan se wahan bhagte phirte hain.



Unko har desh mein aasani se kaam mil jaata hai...
Wo chuttkiyon mein deals karte hai...
Aur laptop ke kuch keys punch karne se beech sadak  traffic control karte hai...
Wo Russian General ko behosh kardete hai... Buildings aur tunnels ko tehas mehas kar dete hai...
Aur jab unka man chahe to bomb ka istimaal karte hai…
Tajjuk ki baat ye hai ki ye saari  harkaton ke bawajood - na sarkar ko unse shikayat rehti hai aur na hi police kabhi unke peeche lagti hai...!

Film mein sab kuch hai -train ki jitni lambi gaadiyaan -
Mahal jitne bade ghar - Khupsurat ladkiyaan - Shaukeen kapde aur sajawat…
Zabardast special effects - action - crazy car chase - private jetplanes - train  robbery- bharpoor masala - glamour aur fabulous locations...

Kuch dialogues achhe hain aur kuch shot takings lajawab hain.
Saare actors mein Neil Nitin Mukesh ka sabse important role hai aur Johnny Lever ka sabse bahtareen performance.

Directors Abbas Mustan  thriller genre  ke raja hai.
Baazigar, Humraaz, Ajnabee ya Aitraaz -unki filmon mein kahani bhi hoti thi - aur craft bhi.
Players mein na kahani hain - na suspense - na music - aur na hi samajh mein aanewale gaane...!

Kaash… film mein ek engaging story hoti - rights kharidi hui nahi - dil se sochi hui kahani!  Kaash…film mein kuch to believable baat hoti -taaki sab kuch jootha nahi lagta!
Players  dil aur dimaag se zyaada - computer se communicate karti hai- isliye shayad audience se connect nahi kar paati.

Players ko milte hai 2.5 stars. 

Cinema Review / Zee Cinema Friday 9PM
92.7 Big FM Saturday-Sunday 

No comments:

Post a Comment