Saturday 28 April 2012

Life ki toh tezzi se lag gayi!!!!


Namaskar – Cinema Review mein – main Bhawana Somaaya - aapka swagat karti hoon.




Iss hafte do releases hain - ek Comedy aur doosri Action.


Pehle baat karte hain Comedy -Life Ki Toh Lag Gayi ki...




Ye kahani hai Mumbai shehar ke ek din - aur chaar kirdaaron ki – jahan sab ko kissi na kissi ki
talash hai…

Salman - yaane Kay Kay Menon ko talash hai apne maa baap ke qatilon ki…
ACP Chautaliyaan - yaane Manu Rishi ko talash hai drug peddlers ki - aur woh bhi 24 ghante ke
andar…
Amol - yaane Ranvir Shorey ko talash hai apni mashukha Dolly ki…

Kahani chaar tracks - anginat subplots - disconnected episodes aur bewajood muddon mein  bikhar jaati hain...
Ye saari uljhanon ke bawajood climax mein- har kirdaar - kissi na kissi tarha se apni manzil paa leta hain…
Sivaay audience ke…!

Cinema hall se bahar nikalkar hum writer director Rakesh Mehta se puchte hai…life ki aisi kaisi aur kyu lagi

Life Ki Toh Lag Gayi ko milta hai 1 star.

***************************************************************

Ab baat karte hain Ratan Jain produced aur Priyadarshan directed - Tezz ki.



Film shuru hoti hai London ke court mein - jahan Akash Rehna - yaane Ajay Devgan ko illegal migrant hone ke jurrm mein – India deport kiya jaata hain.

Akash London apni patni ki talash mein wapas lautta hai ek plan ke saath…
Usse wo sab kuch chahiye - jo use cheen liya gaya tha…!

Aur uski madad karte hain - uske purane saathi - Aadil aur Megha - yaane Zayed Khan aur Sameera Reddy.
Teenon milkar Glasgow se London jaati hui train mein bomb fix karte hain…
Aur Boman Irani – jo Railway Security ke chief hain – ko blackmail karte hain!

Boman ki madad ke liye bheja jaata hain Counter Terrorist Command Arjun Khanna yaane Anil
Kapoor ko.

Ab - Ajay - Boman ke peeche hain- paise ke liye…
Boman sarkar ke peeche hain ransome money organize karne ke liye…
Anil - Ajay ke peeche hain - usse giraftaar karne ke liye…

Kyon ki film ka naam Tezz hain – saare kirdaar – saari gaadiyaan - motorbikes- water boats - trains aur helicopter tezise bhagte hain…
Kyon ki film ka action -Harry Potter & The Deathly Hallows ke stunt director ne kiya
hain - har scene mein - wajah ho na ho - stunts dale gaye hain!

Aur kyon ki film England mein shoot ki gayi hai - zyadatar characters khas taurpe Anil Kapoor angrezi mein hi bolte hain.

Film mein beshumar paise kharch kiya gaya hain…

England ke bahtareen locations - dare devil stunts – Mallika Sherewat ka sizzling item number – aur Sajid Wajid ka melodious music...
Kaash…producer ek logical kahaani bhi kharid lete…!

Director Priyadarshan apne saare manchaahe actors ko ek saath laaye hain.
Kaash…unke saath - thodasa nyay bhi kar dete…! -
Malyalam superstar Mohanlal - kab aate hain aur kab chale jaate hain pata bhi nahi chalta.

Aap ka zyaada samay vyast na karte hue - tezzi se main Tezz ko 2 star ailaan karti hoon.

To ye thi iss hafte ki releases - agle hafte phir mulaqat hogi - tab tak ke liye mujhe dijiye ijaazat… Namaskar.



The review appears as it is on Cinema Review on Zee Cinema, Fridays 9PM.
In an edited version over weekends on 92.7 Big FM

Sunday 22 April 2012

Super response to Vicky Donor...Hate Story is more than erotica


Namaskar – Cinema Review mein – main Bhawana Somaaya - aapka swagat karti hoon...
Iss hafte do releases hain – pehli thriller - Hate Story aur doosri comedy Vicky Donor.

Pehle baat karte hai Vicky Donor ki…


Dr Chadha – New Delhi ke Daryaganj mein - Fertility Clinic chalate hai - aur saath mein - ek
Sperm Bank bhi…

Bohat saare be-aulaad couples unki clinic umeed lekar aate hain aur mayoos hokar chale jaate hain...
Vicky Arrora – Lajpat Nagar ke Refugee colony mein – apni maa aur dadi ke saath barsaati mein rehta hai.

Vicky ki maa Dolly - beauty parlour chalati hai - aur Vicky ki daadi -yaane Bijji - Head of the family hone ke haqq se - ghar mein hokum chalati hai…

Vicky din ko malls mein ghumta hai - shaam ko cricket khelta hai - aur raat mein - doston
ke saath party manata hain.

Ab itne vyast schedule ke baad - zahir hai Vicky ko naukri dhundh ne ke liya samay nahi milta -
Jo uska pariwar nahi samajhta.

Vicky ki uljhan suljhane ke liye Dr Chadha Vicky ko ek proposal dete hai - aur bohat minnato ke
baad - Vicky proposal ko sweekar leta hai.

Ab Vicky Arrora ke paas sab kuch hai - paisa - marramat kiya hua ghar - chamakta beauty
parlour - gaadi - pariwar ka respect aur Anshuma ka pyaar!

Interval tak – film rocket ki tarha chalti hai -
Aur aapko hassa hassakar pagal kar deti hai.

Khas taurpe Vicky ki maa Dolly aur Bijji - jo din mein saas bahu ki noke jhok karti hai - aur raat mein – doston ki tarha shaukh farmati hain.

Film ka second half - naye characters aur naye mudde uthata hain - Aur purane muddon ko anjaam deta hai .
Iski wajah se film mein halka sa drop aata hai - Film ka Vishay adbhoot hai – aisa subject Hindi cinema mein humne aaj tak nahi dekha hai.

Writer Juhi Chaturvedi ki natural likhawat – hume characters se iss tarha se kareeb laati hai -
mano ye kirdaar nahi - humare rishtedar ho.

Saare actors – Anu Kapoor, Ayushmann, Bijji, Dolly aur nayi heroine Yami Gautam ne bahtareen kaam kiya hai.

Director Shoojit Sarkar ki khasiyat ye hai - ke wo urban zindagi se judde - stress aur infertility jaise aham mudein uthati hai.

Unki ye refreshing film ke liye - main unko aur producer John Abraham ko sabashi deti hoon.
Aisi mazedaar aur vicchar-uttejit Vicky Donor ko milte hai 3.5 stars.

*************************************************************************

Ab baat karte hai Hate Story ki…


Vikram Bhatt likhit aur Vivek Agnihotri directed Hate Story kahani hai – ek madhyam vargiya
asadharan ladki - Kaavya ki.

Kaavya investigative journalist hai aur apne newspaper ke liye business tycoon Sidharth Kumar par sting operation karti hai.

Sidharth Kaavya ki kabiliyaat se impress hokar usse apni company mein naukri offer karta hai.

Kaavya unki company ke liye ek bohat mushkil aur bohat badi deal haasil karti hai.

Sidharth Kaavya ko propose karta hai.

Sab kuch itna jaldi hota hai - ek sapna sa lagta hai...!

Aur aisa hi hai… Kaavya ko pata chalta hai - ki Siddharth use badla le raha hai - aur wahan se shuru hoti hai - do barbadiyon ki kahani...

Suspense filmein hamesha - kisne kisko kyon maara ki kahani hoti hain...

Hate Story aisi anokhi thriller hai – jahan audience ko saare jawab pehle se malum hai!

Ye film kyon se zyada kaise - aur maarne se zyaada - ek doosre ko todne ki kahani hai !

Iss do ghante aur 20 minute ki film mein - writer director aap par beshumar pathar phenkte hai…

Kabhi Rohit Malhotra ke raungte khade karne wale dialogues se…

...kabhi Amar Mohile ke dhadkan badha dene wale background music se…

...kabhi Satyajeet Gazmer ki upsetting editing se...
...aur kabhi Aslam Ali ke khaufnak action se… Hala ke film ke
locations - costumes - lyrics aur music - shaandar hai…

Aur lead actors Gulshan Devaiya aur Paoli Dam ne lajawaab kaam kiya hai.

Hate Story erotic - masaledar - dramatic - sensational aur gripping hai...

Magar aitiyaad rahe ki film hadh se zyaada disturbing bhi hai…!

Vikram Bhatt ne aisi bohat saari filmein banayi hai.
Magar director Vivek Agnihotri ke career ki ye shayad pehli aisi thriller hai.

Hate Story ko hume dara dhamkakar stabdh karne ke liye milte hai 3.5 stars.

Toh ye thi iss hafte ki releases - agle hafte phir mulaqat hogi - tab tak ke liye mujhe
dijiye  ijaazat - Namaskar.

The review appears as it is on Cinema Review on Zee Cinema, Fridays 9PM.
In an edited version over weekends on 92.7 Big FM

Thursday 12 April 2012

Zakir Hussain “I have read the Upanishadas”


He is a costume designer, a theatre actor, an interior decorator, a classical singer, a percussionist, a green belted taekwondo player, a poet and much more. Usually cast in negative roles by filmmakers there is a spiritual side to Zakir Hussain that very few people know about.

Not surprising therefore that there was a unanimous cry of disbelief when the ace villain was cast in Upanishad Ganga, an extra-ordinary teleserial produced by by Chinmaya Mission and directed by the erstwhile Dr Chandraprakash Dwivedi.

Meeting and talking to Zakir Hussain on his new image was a revelation. Excerpts from the interview:





Isn’t it strange that Upanishad Ganga should be offered to an actor of your image?
I believe it is wrong to judge a person on the basis of his roles. I may be a good man and only play wicked roles or I may be a wicked man and only play saintly roles. Personal life has nothing to do with your persona and I should be judged on my performance.

So how did Upanishad Ganga happen to you?
Dr Chandraprakash Dwivedi and I have been friends for quite a long time now and have worked together in the past. Dr Dwivedi has been working on the subject for a long time and asked me if I’d be interested to play the character. I’m always open to experiments, new mediums and new experiences and said ‘yes’.

Is that all, what about philosophy of the Upanishadas?
Yes, that is the most important factor. I agree with the philosophy that is why I agreed to do the serial. I have read Upanishads and have been working on a project related to Upanishad so the characters and the culture weren’t unfamiliar for me. I said yes because I agree with the teachings of the Upanishadas and these things cannot be discussed, it is a quiet process that you go through – both as an actor and as a person.

Since the subject is set in a period was the spoken language a problem for you?
Not at all! The reason being my mother tongue is Urdu and I know to read both Urdu and Arabic. Also if there were any problems related to the character or the sensibility, Dr Chandraprakash Dwivedi was always there to help us out.

You are playing multiple characters, which one is your favourite?
Well I have played Dara Shikhoh, Aghori Baba Avadoot ,Valmiki,Yaksha and each of them was a unique experience. In films you stay with one character for a year. In this serial I change roles every week. It is a fascinating experience and even though I like all my characters I would say that Dara Shikhoh is closest to my heart. So far all we knew about Dara Shikhoh was that he is Auranzeb’s brother but after playing that character I realized how learned he was. He was a Sufi with a desire to learn the Upanishads. He was inspired by his guru Miya Mir to translate the knowledge of Upanishad’s into Persian and the result was greatly appreciated.

 The serial features different stories in every episode, do you think that would work in today’s time and age?
Why not, why do we assume that everybody wants to watch only one kind of content? The stories are priceless in content and woven into a dramatic format for entertainment. It is different from anything that is showing on television at the moment. The Upanishad’s impart valuable lessons of life that need to be included in our daily lives as these experiences enhance our human character and world view.

But do you think the youth is interested?
Well, I feel they should be coerced to even if they are not by the elders in the family. Upanishad Ganga is a treasure trove of rare stories and it is sure to bring enlightenment in one’s life.

Has it in your life, would you prefer this to the fame and glory you enjoyed after Sarkar?
They cannot be compared. Sarkar and before that Sriram Raghvan’s Ek Haseena Thi and RGV are career defining moments in my life. RGV saw a single scene in editing and cast me for James and since then if Ramu finds any character likely to suit my personality he calls me do that role.

Apart from RGV who are your favorite directors?
I have worked with many directors and all have been very good but working with Tigmanshu Dhulia, Sriram Raghavan, Anurag Kashyap and Ramesh Sippy is always very special and exciting opportunity for me.

Do you think you will be a transformed person after Upanishada Ganga…?
I have no doubt about that. I can see that I’m changing my world view already and feel good about it.
Bhawana Somaaya

Saturday 7 April 2012

Less sense...More fun and madness!!!

Namaskar. Cinema Review mein main Bhawana Somaaya aapka swagat karti hoon.


Iss hafte sirf ek release hain - Sajid Nadiadwala produced aur Sajid Khan directed - Housefull 2.


Do saal pehle - issi banner ne Akshay Kumar aur Deepika Padukone ko lekar Housefull banayi thi - jo boxoffice par na kaamyaab rahi.

Aisa bahut kum hota hai ki koi film-maker apni naa kaamyaab film ka sequel banaye.

Sajid Nadiadwala aur Sajid Khan ne ye jurrat ki hain.

Itna hi nahi - director Sajid Khan ne release ke pehle hi ye elaan kiya hain ke unki film box office par superhit rahegi.

Film jab shuru hoti hain toh aapke mann mein Silsila ka gaana chalta hain - 'Yeh kaha aa gaye hum...'.

Aisa lagta hain jaise hum stupid characters - stupid situations aur stupid jokes ke beech phas gaye hain.



Magar dheere dheere jaise film aage badti hain - director hume apne pagalpan mein shaamil kar lete hain.

Naa chahate hue hum unke brand ke manoranjan mein shaamil ho jaate hain.

Chaar heroes - chaar heroines - paanch baap - aur ek bechaara London ka sheher!!

Akshay aur John college mein dost the - ab dushmann hain.

Riteish aur Shreyas college mein dost the - ab jigree dost hain.

Jacqeline aur Asin behene hain aur dushmann bhi.

Rishi aur Randhir Kapoor sautele bhai hain aur jaani dushmann bhi.

Boman Irani aur Mithoon Chakravorty langotia yaar the aur ab jaani dushmann hain.

Saare kirdaar ache hain aur bure bhi...Sacche hain aur jhoothe bhi...

Kahaani yeh baara-tera characters ke beech ghoomti rehti hain.

Sab kuch over the top - aur loud hain.

Film ka music melodious hain - khaas taur pe Anarkali aur Right Now Now gaane.

Saare performances convincing hain. Khaas taurpe Mithun Chakravorty, Riteish Deshmukh aur sabse behtareen Akshay Kumar.

Film mein beshumaar humour hain par saath mein offensive dialogues bhi hain.

Director Sajid Khan middle aged actors ko sirf rishte ke bajaye - ek nayi pehchaan dete hain.

Kuch filmein dil se dekhi jaati hain.
Kuch deemaag se.
Aur kuch aisi hoti hain jisme na dil ki zarurat hoti hain aur na deemaag ki.
Housefull 2 aisi film hain - jise dekhne ke liye - aap apna dil deemag ghar chodkar anand le sakhte hain.

Agar bachche saath mein hain...toh double meaning dialogues ke waqt unke kaan bandh kar lo.
Agar biwi saath mein hain...toh offensive gestures ke waqt unki aakhen bandh kar lo.
Aur agar mera review pasandh nahi...toh main apna mooh bandh kar leti hoon.

Housefull 2 ko milte hain 2.5 stars.

Agle hafte phir mulaakaat hogi. Tab tak ke liye mujhe dijiye ijaazat. Namaskar.

http://www.youtube.com/watch?v=YJh3bRAwkB8&feature=youtu.be


The review appears as it is on Cinema Review on Zee Cinema, Fridays 9PM.
In an edited version over weekends on 92.7 Big FM