Friday, 13 March 2015

Cutting Chai with Bhawana Somaaya - Day 546

Cheers to Anushka producer.
13.3.2015

Anushka Sharma produced aur Navdeep Singh directed Nh10 do Bharat ki kahani hain.

Ek Bharat, jahan Delhi mein basne wali Meera, ad agency ki creative head hain, aur samaj ke liye nirnay leti hain.
Doosra Bharat, jahan Haryana mein basi Pinky ko apni pasand ke ladke se shaadi karne ki bhi ijaazat nahi.
Aur inn dono yaane Gurgaon aur Punjab ke beech hain National Highway, jahaan koi surakshit nahin – na aurat, na mard, hathyaar ke saath ya hathyaar ke bagair!

Director Navdeep Singh apne kirdaar, shehar aur roz ke mauhaul ko behad naturally pesh karte hain. 

Pehle scene se interval tak film mein ek tension hain jo aap ko jakad kar rakhta hain!!

Writer Sudip Sharma ki kahani dilchasp hain magar contrived bhi. Film ka action hard hitting hain aur excessively violent bhi...

Film ka plus fiilm ka extra-ordinary sound aur samajik vishay. Film ki anokhi casting aur performances - Ammaji ki bhumika mein Deepti Naval aur negative role mein DarshanKumar.

2007 ki Rab Ne Bana Di Jodi mein debut karne wali Anushka Sharma sirf saat saal mein producer ban gayi hain aur wo bhi aisi film ki producer,  jismein manorajan nahi muddein hain!

NH 10 mein beshaq khamiyaan hain – magar neeyat nek hain, film ke sandesh mein matbhed hain magar himmat bhi.

Anushka Sharma ki Meera daudti hain, thakti nahi, zakhmi hoti hain, tootti nahin!

NH 10 ko actor aur producer Anushka Sharma ke vishwas ke liye Big Entertainment Ratings milte hain 3.5 stars.

Bhawana Somaaya/ @bhawanasomaaya

No comments:

Post a Comment