Dharma Productions produced aur Shakun Batra
directed Kapoor & Sons kahani hai
90 Daadu urrf Rishi Kapoor aur uske pariwar ki.
Daadu ke do bete hain, ek Rajat Kapoor jo unke saath
rehte hain aur chota beta jo pardes mein hain.
Rajat kapoor ke bhi do bete hain, bada beta Rahul
yaane Fawad Khan jo novelist hai aur chotta beta Arjun, jo abhi struggle kar
raha hai.
Daadu ki khwaish hai, ki unke janam din par, saara
pariwar saath rahe ke liye, pariwar saath aate hain…
Film ka plus: Writer Ayesha Dhillon ki bahtareen kahaani
detailed writing aur engaging kirdaar, iske alava film ke saare performances.
Film ka sabse bada minus: film ka no recall music. Interval ke baad film behad dheemi aur bohat
zyaada complicated ban jaati hain…
Kapoor
& Sons dramatic hai, sensitive hai, realistic hain aur
iska shrrey jaata hai director Shakun Batra ko!
Saare actors’ itne natural hai ki sach mein ek
pariwar ka hissa lagte hain aur Rishi Kapoor ka makeup itna badhiya hai ki wo
sach mein 90 saal ke Daadu lagte hain.
Kapoor
& Sons dekhni chahiye ko Big FM Ratings milte hain 3.5
stars.
@bhawanasomaaya