Shawn Arranha directed Teraa Surroor saal 2007 ki film Aap Kaa Surroor ka
sequel hai. Isse hum gangster ki kahani keh sakte hain, mobaat ki kahani keh
sakte hain ya phir sirf Himesh Reshamiya ki kahani keh sakte hain...
Hero Raghu, yaane Himesh Reshamiya ki girl
friend Ireland ki jail mein qaid hain aur usse wahan se faraar karwane mein
uski madad karte hain: Vakil Monica Dogra, police officer Kabir Bedi, Indian
Ambassador Shekhar Kapur aur qaidi Naseerudin Shah.
Film ka plus: film ke exotic loactions,
lajawab cinematography, anokha music aur Naseerudin Shah.
Film ka minus: sach poocho toh kuch nahi aur
wo isliye, kyon ki Himesh Reshamiya aap ko sochne/samajhne/ achcha/ burra lagne
ka mauka hi nahi dete hain.
Camera pure 2 ghant, 16 minute Himesh ke
saath chalta hai aur Himesh music/ drama/ romance/ action/ dialogue delivery,
yahan tak ke shirt utaar ke humara manoranjan karte hain.
Agar aap Himesh Resamiya ke fan hai toh Terra Suroor dekhni zaroori hai. Agar
aap HR ke fan nahi hai toh Teara Suroor
aur bhi zaroori hai kyon isss se badkar manoranjan na mumkin hai.
Terra
Suroor ko
Big Entertainment Ratings milte hain 2 stars.
@bhawanasomaaya
No comments:
Post a Comment