Saturday 3 March 2012

Paan Singh Tomar wins the race!!

Namaskar - Cinema Review mein - main Bhawana Somaaya - aapka swagat karti hoon…


Iss hafte chaar releases hain - Aur charon bilkul hi alag temperament aur genre ki hai.

Will You Marry Me aur Diary of a Butterfly independent productions hai - pehli comedy aur doosri social.

London Paris New York aur Paan Singh Tomar established production houses ki peshgi hai - pehli romance aur doosri drama...

****************************************************************

Pehle baat karte hai Will You Marry Me ki –


Writer Hyder Najmi aur director Aditya Datt ki ye film teen bachelors ki kahani hai. 
Inmein se ek hai Rajeev Khandelval - jo pyaar se zyada paise ko ahmiyat deta hai.

Rajeev ke kehne par uske dost - ek kitty mein shamil hote hai…

Shart ye hai - ki unmein se jo aakhir mein single rahega - saare paise ussi ko milenge!

Kahani mein twist tab aata hai - jab unmein se ek dost ko pyaar ho jata hai - aur wo shaadi karne ki thaan leta hai.

Ab bachein - Rajeev Khandelval aur Shreyas Talpade - aur dono ko - ek hi ladki se pyaar hota hai.

Film single mindedly youth targeted hai - magar afsos ki - Shreyas Talpade aur Rajeev Khandelval jaise behtareen kalakar ke hote hue bhi - baat nahi banti.

Producer Krishan Chaudhery aur Vipin Jain ke sawaal - Will You Marry Me ka mera jawab hai – No, Never!!

Will You Marry Me ko milte hai 1.5 */ stars.

****************************************************************

Diary Of a Butterfly ek aur sitaron ki duniya ki kahani hai - jahan ek aur chotte shehar ki ladki - phir sapnon ki duniya - yaane Mumbai nagri aati hai - naam kamati hai - behakti hai - sambhalti hai - aur phir behakti hai.


Aisi kahaniyaan - humne bohat bade super stars ke saath - bohat baar dekhi hai…

Cinema hall jakar - Uddita Goswami - yaane Gul ki ye boring Diary dekhna - unbearable hai.

Diary of a Butterfly ko milta hai 1* star.

****************************************************************

Rose Movies ki - London Paris New York - teen shehar - 8 saal - aur ek jode ki kahani hai.


Lalitha aur Nikhil - London airport par milte hai - aur ajnabi hote hue - purra din London ki sadkon par - saath saath ghumte hai.

Phir Lalitha politics padhne New York chali jaati hai... aur Nikhil - wahin rehkar - filmmaking padhta hai.

Dono ek saal baad - New York mein milne ka wada karte hai - magar nahi milte!

Jab achanak milte hai - to jhagadte hai - aur ek doosre se door chale jaate hai.

Kuch saal baad - dono phirse milte hai - aur iss baar- wo purri raat - Paris ki sadkon par ghumte rehte hai.

Film 20s ke generation ko focus karti hai - jinhe apna career banana hai - aur sache pyaar ko bhi talshna hai.

Unke nazariye se dekha jaye - to kaam bohat bada aur kathinn hai!!

Unka kaam aasan banate hai - director Anu Menon aur dialogue writer Ritu Bhatia - jo unhe baar baar milate hai - aur ehsaas dilate hai - ki unko ek doosre se pyaar hai.

Isliye wo Hum Tum ke Rani aur Saif ki tarha alag alag shehar mein milte hai - aur DDLJ ke Kajol aur Shah Rukh ki tarha church mein bachkani harkate karte hai.

Ye alag baat hai ki na hi unke 8 saal ke rishte mein koi therav hai - aur na hi ek doosre se bichadne ka koi khas tanav.

Balke aisa lagta hai jaise Ali Zafar  aur Aditi Hyder sirf costumes - hairstyles - ghar - aur shehar - badalkar milte hai aur ek imaginary relationship se niraash rehte hai.

Film mein character - ya plot ko lekar koi twist-ya-turn nahi hai aur nahi koi surprise hai -
sivay climax ke - jab hero apne pyaar  ka izhaar karta hai !

Hindi cinema mein shayad pehli baar - kissi hero ne aise dialogue bole hai - aur censor ne pass kiye hai !!

Ali Zafar ka music aur awaaz melodious hai - aur Samir Arya ki cinematography bahtareen.

Aditi - Ali ki jodi refreshing hai magar dono dramatic scenes mein phhikke padte hai.

London New York Paris ko milte hai 2.5**/ stars.

****************************************************************

Aur aakhir mein - iss hafte ki sabse shaandaar film - Paan Singh Tomar.


Abhi kuch mahino pehle - director Tigmanshu Dhulia ne humme bohat hi mazedaar period film di thi - Saheb Biwi aur Gangster.

Ab itne kumm samay mein Tigmanshu UTV ke saath - ek aur path breaking film laaye hai - jo national athlete Paan Singh ke jeevan par adharit hai.

Saheb Biwi aur Ganster ki tarha ye film ka premise, treatment, story telling aur characterization bilkul hi nirala hai.

Kaise ek chotte gaon ka sadharan ladka fauji banta hai - aur kyon ki wo khaneka shaukeen hai - sirf pet bhar khaneke liye - sports mein dakhila leta hai.

Ek acche guru - kudrati stamina aur maan ki lagan se Paan Singh National Games mein daudta hai - lagatar saat saal jitta hai - aur apna hi record todta hai!

Aam taurpe aisi inspirational filmein one dimensional bankar reh jaati hai…

Magar Paan Singh ki kahani - sirf ek honhar athlete ki kahani na hote hue - ek adarshwadi shisya - dilchasp pati - zimmedar baap - dildaar saathi aur khuddar insaan ki kahani hai.

Writer director- apne protagonist ke dwara - humme unke gaon aur pariwar ka parichay karwata hai.

Jab Paan Singh army mein hai to anushasan nibhata hai aur jab sports mein hai to junoon dikhata hai…

Kaise ek national champion baagi banta hai - aur kyon uska dil baar baar tootne ke bawajood - wo aakhir tak haar nahi manta!

Film ka narrative segmented flashbacks mein hai - aur bohat hi interesting hai.

Opening shot se lekar interval tak - film absolutely flawless aur brilliant hai.

Film ka second half - jab Paan Singh dacait banjata hai - predictable ho jata hai.

Samaaj - police - crime - politics aur is case mein - sports mein badhte hue anyay ki baat karti hai.

Abhishek Ray ka sangeet aur Tigmanshu Dhulia ke one line avadhi dialogues - dil ko chu lete hain.

Sainkdo scenes shristi se jude hue hai…

Jab Paan Singh muthi mein reit bhar ke badalte rutu ka elaan karta hai…

Ya phir jab saare dacait - chandni raat mein - rifle odhein Chambal ki ghatiyon mein soo jaate hain.

Ismein koi shaque nahi ki Paan Sigh  Irfaan Khan ki zindagi ka sabse important role hai - aur Irfaan ne usse purri imandari se nibhaya hai.

Woh Chhitte ki tarha daudta hai - aur bache ki tarha muskurata hai.

Jab wo Fauji hai - shayyar nazar aata hai - aur jab wo Champion hai - aashiq nazar aata hai.

Film mein chotte motte nuqs hai jisse aap maaf kar sakte ho magar Irfaan ke performance mein koi nuqs nahi - aur aap ko Paan Singh se yakinan mohabbat ho jaati hai.

Paan Sigh Tommar ko milte hai 4**** stars.

****************************************************************

The review appears as it is on Cinema Review on Zee Cinema, Fridays 9PM.
In an edited version over weekends on 92.7 Big FM

No comments:

Post a Comment