Friday, 27 December 2013

Cutting Chai with Bhawana Somaaya - Day 253



Mythological week
26.12.2013 

Kushal- Dhaval Gaada produced aur Amaan Khan directed Mahabharat Pen Movies ka animated presentation hain.
Kaurav Pandav ki ladai ki kahani hum sab ko pata hain aur saath mein Sri Krishna ka updesh bhi.
Hindustan mein zyadatar animation filmein mythological subject par bani hain.
Mahabharat un sab se alag is liye hain, kyon ki jahan baaki filmon mein ek hero hota hain, ismein har kirdaar hero hain!
Baaki filmein kalpanik chehron ke saath banayi gayi hain. Mahabharat pehli baar – mashoor actors ke chehre aur awaaz ko ek saath laaye hain jaise Bhismapitama bane hain Amitabh Bachchan, Karna  bane hain Anil Kapoor aur Draupadi bani hain Vidya Balan.
Kuch actors ke animations unki awaaz  se milte hain – jaise Shakuni Mama ki bhumika mein Anupam Kher  aur kuch nahi milte, jaise Sri Krishna ki bhumika mein Shatrughan Sinha.
Jahan badi se badi feature film ek saal ke andar  taiyaar ho jaati hain, ek animation film ko khoon/ pasina aur paise ke alava sahas, samay aur dhairya ki zaroorat hoti hain...
Director Amaan Khan  aur unki team ko 7 saal ki kadi mehnat aur kathinaiyo ko maan dete hue Mahabharat ko ek nayi desha mein prayaas karne ke liye Big Entertainment Ratings milte hain 3 stars.  
*********************************************************


Sunil aur Vibha Khosla produced aur Ajit Bhairavkar directed Mokssh ek nakamyaab filmmaker Parth ki kahani hain jiski jeb mein ek paisa nahi hain magar wo 7 bungle aur 7 gaadiyon ke sapne dekhta hain.
Na chahte hue wo ek anthropologist ke saath documentary banane ke liye shamil ho jaata hain.
Film Maharashtra ki dharmik jaatra ke baare mein hain jahan har saal, desh aur videsh se lakhon log 18 dinon mein 240 kilometer paidal chalkar Bhagwan Vithoba ko milne aate hain.
Iss prachin pratha ko Bhagwad Gita ke 18 adhyay se jodkar writer director Ajit isse humari aur aap ki kahani bana dete hain.
4 saal ke research aur desh bhar mein 32 awards milne ke baad Moksh ab theatre mein release hone ja rahi hain.
Moksh sirf film nahi shraddha hain…anushasan hain. Agar aap ko dharma mein ruchhi hain aur swayam ka utthan chahte ho toh Moksh aap ke liye hain warna nahi.

Moksh ko Big Entertainment Ratings mile hain 3 stars.
Bhawana Somaaya/ @bhawanasomaaya
 

No comments:

Post a Comment