Club 60 is sensitive
06.12.2013
Bharat Shah presented aur Sanjay Tripathi likhi
directed Club 60 nuro surgeon Tareeq
Sehaikh aur unki biwi Saira ki kahani hain jo ek tragedy ke baad, apne Pune ka nursing home
bandh karke, Mumbai shift ho jaate hain.
Mumbai mein Doctor Saira ek aspatal se jud jaati
hain aur Tariq jo ab bhi haadse se bahar nahi nikle hain, saara din ghar ki balcony
se bahar dekhne mein guzarte hain.
Ek din Tariq ke hasmukh padosi Manubhai/ Raghuveer
Yadav unko zabardasti Club le jaate hain aur apne doston se milate hain.
Satish Shah/ Sharad Saxena/ Tinnu Anand - sab ki
apni kahaniyaan hain aur kahaiyon ke peeche chuppe raaz.
Dheere dheere, Tariq unki zindagi mein shamil ho jaate hai aur ek baar
phir jeene ki koshish karte hain.
Club
60
ko hum senior citizens ki kahani keh sakte hain – pati patni ki prem kahani keh
sakte hain, ya phir sab kuch khone ke baad jeene ki khwaish keh sakte hain.
Film ka samvaad aur sandesh bhavnao ko sparsh ahain.
Aur iska shrey jaata hain writer director Tripathi ke saath saath do umda
kalakar, Faroque Sheikh aur Sarika ko.
Sukh- dukkh ke chotte -bade pallon ko special banati
hain ye anokhi jodi – khas taurpe Sarika jo dhairrya aur mamta se karuna ka
samna karti hain. Aur jab tootti hain, toh aap ke raungte khade kar detihain!
Film thodi si lambi hain, pace thoda dheema hain
magar effective hain. Jab Faroque Sarika film mein rote hain toh hum bhi rote
hain aur jab woh muskurate hain toh hum saans lete hain.
Club
60
ko Big Entertainment rRatings milte hain 3.5 stars jisme se aadha star Sarika
ke liye hain.
***********************************************************************
Raajkumar disappoints
Eros produced aur Prabhu Deva directed R…Rajkumar do drug lords – Ashish
Vidyarthi aur Sonu Sood ki kahani hain.
Ek din achanak dono ke beech Rajkumar/ Shaid Kapoor
aata hain aur jo Sonakshi Sinha ko dekhte hi apna hosh kho baithta hain.
Wanted,
Rowdy Rathore aur Rammaiya Vastavaiya ke baad R…Rajkumar Prabhudeva ki chauthi Hindi
film hain aur ussi mijaaz ki.
Ismein bhi bharpur action- extreme violence- vulgar
choreography – double meaning dialogues aur senseless lyrics hain.
Teen writers milkar hume original screenplay nahi de
patte. Film ke dialogue kuch iss prakar ke hain: Silent ho jao varna main
violent ho jaunga!
Gano mein nukkad pe chai peene ki baat hoti hain!!
Sonakshi Sinha aurr Shahid Kapoor humara manoranjan
karne ki puri koshish karte hain – magar afsos humara dil nahi lagta!!
Mere hisab se film ka negative film ka
writer-director Prabhudeva hain..
Aisi maar maar maar formula filmein ab Silent kardo
Prabhudevaji warna audience Violent ho jayegi!!
R…Rajkumar
ko Big Entertainment Ratings milte hain 2 stars.
Bhawana Somaaya/ @bhawanasomaaya
No comments:
Post a Comment