RAJA ROCKS.
29.11.2013
29.11.2013
Moving Picture produced aur Tigmanshu Dhulia likhi
directed Bullet Raja Uttar Pradesh ki
rajneeti aur mijaaz ki kahani hain.
Raja Misra yaane Saif Ali Khan padha likha, naukri
ki talash mein bahdur ladka hain jo ek din raah chalte gundon ke saath ulajh
jaata hain aur unse bachne ke liye chalti baraat mein shamil ho jaata hain.
Shaadi mein unki mulaqat dulhan ke first cousin
Raghu, yaane Jimmy Shergill se hoti hain aur wahan se shuru hoti hain
Raghu-Raja ki jugal bandi.
Dono jamkar aise baraste hain ki UP ka crime world/
industrialists /politicianss aur police baukhla jaati hain.
Film ki editing bullet ki tarha tez - aur likhawat
extra-ordinary hain khaas taurpe daialogues – missal ke taurpe ‘Bhraman bhukha
- toh Sudama aur rootha - toh Raavan’.
Tigmanshu Dhulia apne kirdaar, locations, unke aapsi
rishte, pariwar, vyavhar aur bhasha ko sneh, adhikar aur bariki se pesh karte
hain.
Ye shayad pehli film hain jiska action aur emotion
ek hi sur mein hain – andar se uttejit aur bahar se shant!!
Lucknow- Mumbai- Kolkatta aur Chambal ke real
locations par shoot ki gayi Bullett Raja
ka har character dilchasp aur performance qabile taarif hain: supporting cast
mein Gulshan Grover, Raj Babbar, Ravi Kissan aur Viddyut Jamval.
Premika ki bhumika mein sundar Sonakshi Sinha aur Sholay ke Veeru- Jay ki yaad taza karte
hue Jimmy Shergil aur Saif Ali Khan.
Film ke raja beshaque Saif Ali Khan hain jinme gunde
ka tevvar, leader ka thehrav and bhraman ka gyaan hain.
Film ka second half thoda lamba hain aur revenge predictable
hain. Dosti/dushmani- action/item number ki filmein humne iske pehle bhi bohat baar dekhi hain, magar
Tigmanshu Dhulkia ka Take hamesha alag hota hain.
Haasil,
Saheb Biwi aur Gangster series ke baad, taiyaar ho jaiye
ek intelligent, original, tikhi aur tadakedar film ke liye!!
Bullet
Raja
ko Big Entertainment Ratings milte
hain 4 stars.
No comments:
Post a Comment