Rajjo
is no queen
15.11.2013, Mumbai
Vishwas
Patil likhi aur direct ki gayi Rajjo
ek tawaif ki kahani hain jiski zindagi mein 21 saal ka ladka Chandu aata hain,
usse shaadi rachata hain aur apne saath le jaat hain.
Ye sab
itna aasani se hota hain jaise Virar se train pakadkar Grant Road aana.
Chandu khane ka thela lagata hain aur dono adivasi ki
basti mein jhopde mein rehte hain.
Ab bas
gaana gane ki der thi ki villain ke aadmi Rajjo ko wapas dance bar mein ghasit
le jaate hain.
Film ki
kahani regressive hain, screenplay illogical, characters banawti aur production-value
below average!
Kuch
filmein dil se banayi jaati hain, kuch technique se, kuch paise se aur kuch
neeyat se.
Rajjo jaldi se mashoor hone ki lalach
se banayi gayi film hai – isme Kotha hai, Begum hai, Besharmi hain ashleelta
hain.
Kangana Ranauat
iss kichad mein kamal ka phool hain. Rajoo
ko sirf Kangana Ranaut ke liye – Big
Entertainment Ratings milta hai 1 star.
*****************************************************************
Ram Leela is worth it
Eros
produced aur Sanajay Leela Bhansali directed Ram Leela, Shakespear ki Romeo
& Juliet se prerit, kaalpanik kirdaron par adharit, vibrant Gujarat
mein bassi, 500 saal purani Saneda aur Rajade ki dushmani ki kahan hain.
Holi ke
din Rajade ka Ram/Ranveer Singh aur Saneda ki Leela/Deepika Padukone ko ek hi
nazar mein pyaar ho jaate hain.
Film ka
minus: film ki length, restricted location aur kuch pranto ke liye Gujrati
samvaad.
Film ki
cinematography, choreography, costumes, sets aur Bhansali ka foot tapping
folklore music.
Saare
performances powerful hain: Ram ki bhumika mein,kabhi udte, kabhi jhoomte Ranveer
Singh. Leela ki bhumika mein, kabhi machalti, kabhi bikharti, phool se bhi
sundar Deepika Padukone aur stabdh kar dene wale performance mein Supriya
Pathak.
Director
Sanjay Leela Bhansali ki 6 filmon mein se 3 filmein Khamoshi/ Black/Guzarish special ability ke vishay par hain, baaki
teen Hum Dil De Chuke Sanam, Sawariyaa aur Devdaas prem kahaniyaan hain.
Ram Leela khoon se rangi do dhadakte dilon
ki dastaan hain. Bhansali action sequences ko nritya ki tarha pesh karte hain…Nritya
ko natak ki tarha… aur samvaad ko sur mein sunate hain!
Bhansali
ki baaki filmon ki tarha Ram Leela ka
har frame sushobhit hain – rajwadi kothiyaan, bade aangan, tang seediyaan, jharokhe,
jharokhe ke uppar phisalte chappar aur sadkon par kali odhniyon mein lipti
auroton ke jhund.
Kabhi
ped jharno ke beech panchi udte hain… kabhi premiyon ke milan mein morr gaate hain…Navratri
mein naachti ladkiyon ke rang birangi ghumte lehenge aapko mugdh kar deti hain...
Ram Leela rang aur rass ka bhandaar hain
jisse dekh kar morr toh kya aap bhi than ghat karoge- Ta thaaiyya thaiyya
thai!!
Ram Leela ko Big Entertainment Ratings milte hain 4 stars.
Bhawana Somaaya/ @bhawanasomaaya
No comments:
Post a Comment