Truth is it is unbearable
08.11.2013,
Mumbai
Director
Ram Gopal Varma ne saal 1989 mein underworld ki ek kahani pesh ki - Shiva.
Ussi
kahani ko teen saal baad 1992 mein ek naya mode diya - Drohi.
Saal
1998 mein Ram Gopal Varma ne underworld ko insaan ke roop mein pesh kiya - Satya.
Saal
2002 mein unhone jurm ko baqayda vyavsay ki tarha samjhaya – Company.
Saal 2004
mein pehli baar ek encounter specialist ko Ab
Tak Chappan mein milaya.
Unki kahani
ka vishay wohi rehta tha magar badalte thhe filmon ke naam - kabhi D, kabhi Contract aur kabhi Department.
Shiva ke baad Shiva 2, Sarkaar ke baad Sarkar Raaj, Rakt Charitra ke baad Rakt
Charitra 2 aur ab Satya ke baad Satya 2.
25 saal
aur 40 filmon se bhi zyada lambe career mein filmmaker Ram Gopal Varma ne 15
filmein jurm ki duniya par adharit hain jinme se kuch bohat achi hain - aur
kuch bohat burri!
Unki
burri filmon mein, iss hafte, ek aur naam shamil hain Satya 2 - engineer Satyaprakash apna gaon chodkar apne dost ko
milne Mumbai aata hain aur jurm ki duniya mein shamil ho jata hain.
Kuch hi
dinon mein woh apni khud ki company khadi karta hain – aur purre shehar ko darra
dhamkata hain!
Na hi
film ka plot convincing hain aur na hi ek bhi actor/character. Saare jasbaad
joothe, saare kirdaar khokle aur saari behas naqli hain.
Ek daurr
tha jab Ram Gopal Varma ki filmon mein junoon aur jasba tha...Unki kahaniyon
mein sachai aur kirdaron mein rass tha.
Ab Satya ye hai ki unki filmon mein keval
violence hain aur Satya 2 ye hai ke
aisi filmon se kisi ka manoranjan nahi ho sakta!!
Satya 2 ka vistar mein varnan ya vivaad
na karte hue film ko Big Entertainment
Ratings milta hai 1 star.
Bhawana Somaaya /@bhawanasomaaya
No comments:
Post a Comment