Friday 28 February 2014

Cutting Chai with Bhawana Somaaya - Day 293

Super side effects
28.02.14

Balaji Films-Pritish Nandy Communication produced aur Saket Choudhary likhi directed Shaadi Ke Side Effects 2006 ki Pyaar Ke Side Effects ka sequel hain.

Pyaar Ke Side Effects mein Rahul Bose aur Mallika Sherawat, mohabbat ka izhaar ke baad ki samasyaon se jhunjhte hai.

Shaadi Ke Side Effects mein Farhan Akhtar aur Vidya Balan zindagi mein aayi rukawat – yaane pehle bache ke anubhav se guzarte hain.

Director pehli frame se sabit karte hain ki na hi ye aam kahani hain aur na Sidharth- Trisha aam shaadi shuda joda!

Kabhi naa aur kabhi haan, kuch haske aur kuch dar ke, Sid-Trisha, aakhir mein, bache ki zimmedari ke liye taiyaar ho jaate hain!

Nanhi Mili apni kilkariyon aur khilone se purre ghar par kabza kar leti hain.

Shaadi Ke Side Effects gender, matrimony aur parenthood ko lekar naye muddein uthati hain.

Film bahtareen sochi, bariki se likhi aur intelligently perform ki gayi hain.

Farhan Akhtar aur Vidya Balan kabhi sensual, kabhi sensitive aur kabhi bilkul senseless couple ki  bhumika immandari se nibhate hain.

Film ka first half spectacular hain, balke main kahungi ki interval ke pehle film mein ek jadu, ek deewangi hain.

Vir Das aur Ram Kapoor thodi der ke liye aate hain aur jee khush kar dete hain.

Problem film ka second half hain, afsos ke kahani aam shadiyon ki tarha bikhar jaati hain aur phir achanak ek khaas shadi ki tarha Arshad Sayed ke dialogues se climax mein sambhal jaati hain!

Director Saket Choudhary hume shaadi ke teen: Ram Kapoor/Farhan Akhtar/Vidya Balan ke drishtikon se parichit karte hain.

Suna hain ke shaadi wo laddo hai jisse khaye wo pachtaye aur na khaye wo bhi pachtaye magar Shaadi Ke Side Effects wo laddoo hain jisse na khayein wo zaroor pachtaye!!

Kyon ki ismein sab ke liye – jawan/buzurg/aurat/mard/akela/shaadi shuda/ bache wale/ bagair bache jode ke liye sandesh hain!

Vidya- Farhan ki chemistry lajawab hain. Vidya lajawab hain aur Bhaag Milkha Bhaag ke baad Farhan Akhtar subhanallh!!

Writer director ko salaam karte hue Shaadi ke Side Effects ko Big Entertainment Ratings milte hain 3.5 stars.


Bhawana Somaaya/ @bhawanasomaaya

No comments:

Post a Comment