Highway is sublime
21.02.14
Imtiaaz
Ali likhi/produced/ directed Highway Veera
Tripathi ki kahani hain jiska apni shaadi ke kuch din pehle apharan ho jaata
hain!
Apharan
karne waale 20 saal ki Veera ke haath paun aur muh baandhkar, usse kabhi van/ kabhi truck se pathrili, barfeeli
sadkon par, ek shehar se doosre shehar raat-din bhagaate hain.
Bharat
ke 6 prant -Delhi, Haryana, Rajasthan, Punjab, Himachal Pradesh aur Kashmir
mein filmayi gayi Highway aap ko srishti ke itne kareeb
laati hain jaise…
Suraj ki
kirnein aap ko jagati hain… Paani ke jharne
aapko nehlaate hain… aur chand talle, pedon ki lambi shakhayein aapko jhula
jhulati hain…
Film ka har
frame sundarta ki missal hain. Himachal ki hariyali aur Kashmir ki barfeeli vaadiyaan,
cinematographer Anil Mehta ki jitni taarif ki jaye utni kum hain.
Film ki kahani,
likhawat, saare kirdaar, unke aapsi rishte, jasbaat aur jasbaton ko izhaar
karne ka andaaz aur AR Rahman ka phoolon
se bhi komal sangit ka shrrey director ko jaata hain.
Director
ne kaha hain ki ye film unhone bagair screenplay ke shoot ki hain –shayad
isiliye film ka har lamha aur dialogue itna spontaneous aur sacha hain!
Film ki soch,
film ka sandesh aur sabse aage, Alia
Bhatt ka unself conscious performance outstanding hain.
Rockstar ke baad Imtiaaz Ali kissi bhi
superstar ke saath 200 crore ki film bana sakte thee – unhone ek ubharti
kalakar ko chuna.
Wo koi
bhi foreign locations mein shoot kar sakte thhe - unhone Bharat desh ko chuna.
Kaha
jaata hi ki kissi ki sahi pehchan ne ke liye unke saath safar karna zaroori
hain aur Highway Imtiaaz Ali ki
pehchaan hain.
Highway ko iss sundar safar ke liye Big
Entertainment Ratings milte hain 4 stars.
***
Darr @the
mall intriguing
MSMMP/Contiloe
Films produced aur Pawan Kirpalani likhi directed Darr @the Mall ek naye mall ke udhghatann ki kahani hain.
Construction
ke dauran site par aise haadse ho jaate hain jiski wahah se log mall ko bhoot
prêt se jod dete hain.
Mall ke
board of directors ye galat faimiyaan door karne ke liye ek launch party
organize karte hain aur ye party sab ke
liye kayamat ki raat ban jaati hain!
Aadhi
raat baad jab saare guests chale jaate
hain – tab board of directors aur unke pariwar locked mall ke andar bhayanak
haadse ka shikar bante hain.
Sabse
pehle ye kehna zaroori hain ki Darr@ the
mall stereotype horror film nahi hain…
Na
ismein hawa se parde hilte hain, na raat
ko ped ke neeche se kuch milta hain aur na hi aatma ghungru pehankar, mombati
haath liye ultte paunn chalti hain.
Darr @ the mall shhrapit pariwar ke bare mein nahi hain aur na
hi bichde pyaar ki kahani.
Film ke
first half mein bhoot nahi – bhoot ka darr hain – isliye first half uneventful
hote hue darawna hain!
Film ke
second mein bhoot ka ehsaas aur ke flashes hain – isliye second half darr se
zyada aap ki curiosity badhata hain.
Director
Pawan Kirpalani ki Ragini Mms ne nayi disha ki shuruat ki thi.
Iss baar
Kirpalani bhoot ko cinematic avatar dete hain aur sound ko nayi paribhasha.
Shankar
Mahadevan ka sangit aur Ganesh Hegde ki choreography mein piroyi, Abhimanyu
Singh ki Darr @ the mall imaginative aur anokhi horror film hain.
Darr @the mall heart patients’ ke liye nahi
hain adventurous audience ke liye hain.
Darr @the mall ko Big Entertainment Ratings
milte hain 3 stars.
Bhawana
Somaaya/ @bhawanasomaaya
No comments:
Post a Comment