Saturday, 8 February 2014

Cutting Chai with Bhawana Somaaya - Day 282



 Babloo is dull Hasse Toh Phasee doesn’t make you laugh and Heatless is Heartfelt
07.02.14


Panda/ Singh produced - Nila Panda directed Babloo Happy Hai teen dost Jatin, Harsh - Rohan ki kahani hain.
Tamanna ko Rohan se pyaar hain. Rohan Natasha se aakarshit hain. Jatin pyaar se nakhush hai aur Harsh- Gazala abhi abhi dost bane hain.
Bachelor party aur shaadi sangit se shuru hote hui, dhabe par rum aur item number me piroie kahani barfeeli Manali pohachti hain. 
Manali aane ka maqsad Student Project Research hain...
Film ka plus film ke sundar locations aur social message.
Film ka minus unengaging screenplay aur bikhre hue characters.
 Agar aap Manali jaana chahte ho aur nahi jaa paye ho toh Babloo Happy Hai dekh sakte ho.
Babloo Happy Hai ko Big Entertainment Ratings milta hai 1 star.
 *******************************************
 Dharma Productions/Phantom Films produced aur Vinil Mathew directed Hasse Ton Phassee shaadi ke
mahaul mein palli kuch tedhi medhi aur uttpatang love story hain.
Nikhil Bharadwaj yaane Siddharth Malhotra abhi tak career mein settle nahi hain magar shaadi ke liye taiyaar hain.
 Nikhil ki mangetar Adah Sharma bhi shaadi ke liye taiyaar hain, condition ye hai ki sab kuch uski marzi se hona chahiye.
Film ka plus Kulkarni/ Kashyap ke dialogues unusual characterizations aur saare performances khaas taurpe anokhi bhumika mein Parineeti Chopra.
Film ka minus film ka pace – lambe samay tak samajh mein nahi aata kya ho raha hain.
Film ka title Hasse Toh Phasee hain magar humour quotient bohat kum hain.
Hasse Toh Phasee ko Big Entertainment Ratings milte hai 2 stars.
 Bhawana Somaaya/ @bhawanasomaaya


***************************************************
Shekhar Suman produced aur directed Heartless ka hum kai tarha se vanan kar sakte hain.
Isse hum love story keh sakte hain aur betrayal story bhi keh sakte hain…Dosti ki kahani keh sakte hain aur duvidha ki kahani bhi keh sakte hain…
Heartless medical premise mein sajayi maa bête ki kahani hain – ek aisi kahani jo hum ne bachpan mein suni thi aur writer Nina Arora ne yaad taaza kar di.
Film ka plus, original story, imaginative visuals, anokha music aur refreshing writing. Film ka minus film ki length woh bhi first half.  
Interval ke baad Operation Theatre ka scene aap ke raungte khade kar dega!
Nayi ladki Ariaana Ayam competent hain, Deepti Naval aur Adhyayan Suman outstanding!
Heartless aaj ke medical world ka sach hain. First time director Shekhar Suman ko Anesthesia Awareness ka mudda uthane ke liye Big Entertainment Ratings milte hain 3.5 stars.
Bhawana Somaaya / @bhawanasomaaya

No comments:

Post a Comment