Youngistan
for youth
28.03.14
Vashu Bhagnani produced aur Syed Ahmed Afzal likhi
directed Youngistan Hindustan ke
naujawan PradhanMantri ki kahani hain.
Abhimanyu Kaul yaane Jacky Bhagnani, Tokyo ki badi
company ke liye video games banata hain aur ek shandaar apartment mein apni
girl friend Anvita, yaane Neha Sharma ke saath rehta hain.
Ek din Jacky ko ghar bulaya jaata hain, airport se
directly aspatal aur kuch dinon ke baad, apne mahroom pita Pradhan Mantri
Bomani Irani ki jagah naye PM chunne hain!
Ab club ke badle cabinet, jeans ke badle Sherwani
aur Facebook ke badle public rally- 28 saal ke software engineer ki zindagi
badal jaati hain!
Film ka first half refreshing hain, shayad isliye
kyon ki iske pehle humne pradhan mantri ko insaan ki tarha kabhi nahi dekha.
Jacky
Bhagnani Pradhan Mantri ki bhumika mein ek saadgi aur sahajta laate hain jo dil
ko chhoo jaati hain.
Premika Anvita mein kuch khaas baat hain aur aap
unko utna hi pasand karte ho jitna ki Pradhan Mantri.
Film ka sabse manjha hua performance Pradhan Mantri ke PO Akbar yaane Farooque Shaikh ka hain.
Shaikh ke sirf frame mein hone se har scene ko chaar chand lag jaate hain!
Youngistaan
aaj ke Hindustan ke naujawan ka drishtikon hain aur iss anokhi soch aur sandesh
ka shrrey jaata hain director Syeed Ahmed ko, jinhone kuch naya karne ka shaas
jataya.
Youngistaan ko Big Entertainment Ratings milte
hain 3 stars jisme se 1 star sirf Farooque Shaikh ke liye hain.
**
Dishkiyaan
senseless
Shilpa Shetty/ Eros International produced aur Sanamjeet
Singh Talwar directed Dishkiyaaon ek
aur underworld ki kahani hain aur shayad ab tak ki sabhi crime world ki filmon
mein sabse banavti bhi!
Vickey ko bachpan mein uske class ka ladka roz zalil
karta tha, jisse badla lene ke liye,
Vickey gangster ban jaata hain!
Kahani ka na sarr hain na paon. Samajh mein nahi
aata ki Vickey apni kahani Sunny Deol ko kyon sunata hain…?
Kyon ek gang
doosri gang ke peeche hain aur ek gunda doosre gunde ke khoon ka pyaasa…?
Rocky ko Vickey chahiye, Vickey ko Tony, Khan ko
Khaleefa, Khaleefa ko Gujjar aur Gujjar ko saara shehar!
Aisa lagta hain ki kissi ko kissi se koi real
conflict nahi hain aur writer/ director saare characters ko bade parde par yuhhin,
tahalaane laaye hain!!
Dil chahta hain ki kaash humare paas bhi revolver
hota aur hum bhi sab ko yuhhin dishkiyaan kar dete!
Dishkiyoon ko itni mehnat aur paise kharch
karne ke liye Big Entertainment ratings milta hain 1 star.
Bhawana Somaaya/ Tweets @bhawanasomaaya