Saturday 15 March 2014

Cutting Chai with Bhawana Somaaya - Day 303



Bewqoofiyaan is Cool
14.03.14
 
Yashraj Films produced, Habib Faizal likhi aur Nupur Asthana directed Bewqoofiyaan aaj ke daur ke corporate world ke naujawano ki kahani hain.
Mohit yaane Aayushmann Khurana airline marketing executive hain aur Myera yaane Sonam Kapoor finance wizard hain.
Dono highly qualified hain aur apne professions mein highly placed bhi isliye ek doosre ko achi tarha se samajh lene ke baad, shaadi karne ka faisla karte hain.
Unki shaadi mein rukawat bante hain – Myera ke pita, yaane retired Govt officer Rishi Kapoor.
Rishi Kapoor apni beti ka haath dene se pehle, apne damaad ki dil kholke pariksha lete hain.
Ek nazariye se Bewqoofiyaan paisa aur pyaar ki regular love story hain magar film ko asadharan banati hain film ki likhawat aur bahtareen characters.
Writer Habib Faizal ek baar phir, aam zindagi ke aham muddein uthate hain.
Mudda ek – khushi pyaar se aati hain ya paise se?
Mudda do – 60 saal ki ummar mein kya zindagi thambh jaati hain?
1950s se 1970s mein aisi kahaniyaan tragedies ban jaati thi. Aaaj directors’ apni baat bhi kehte hain aur entertain bhi karte hain.
Film ka minus film ka music, predictable climax aur pace.  Film ka plus Sonam aur Ayushman ke saath saath film ki jaan, Rishi Kapoor.
Bewaqoofiyaan bilkul bhi bewaqoof nahi hain balke Aayushmann ki zabaan mein cool hain!
Bewaqoofiyaan ko Big Entertainment Ratings milte hain 3 stars.


Bhawana Somaaya/ @bhawanasomaaya

No comments:

Post a Comment