Friday, 28 March 2014

Cutting Chai with Bhawana Somaaya - Day 313



Youngistan for youth
28.03.14

Vashu Bhagnani produced aur Syed Ahmed Afzal likhi directed Youngistan Hindustan ke naujawan PradhanMantri ki kahani hain.
Abhimanyu Kaul yaane Jacky Bhagnani, Tokyo ki badi company ke liye video games banata hain aur ek shandaar apartment mein apni girl friend Anvita, yaane Neha Sharma ke saath rehta hain.
Ek din Jacky ko ghar bulaya jaata hain, airport se directly aspatal aur kuch dinon ke baad, apne mahroom pita Pradhan Mantri Bomani Irani ki jagah naye PM chunne hain!
Ab club ke badle cabinet, jeans ke badle Sherwani aur Facebook ke badle public rally- 28 saal ke software engineer ki zindagi badal jaati hain!
Film ka first half refreshing hain, shayad isliye kyon ki iske pehle humne pradhan mantri ko insaan ki tarha kabhi nahi dekha.
 Jacky Bhagnani Pradhan Mantri ki bhumika mein ek saadgi aur sahajta laate hain jo dil ko chhoo jaati hain.
Premika Anvita mein kuch khaas baat hain aur aap unko utna hi pasand karte ho jitna ki Pradhan Mantri.
Film ka sabse manjha hua performance Pradhan Mantri  ke PO Akbar yaane Farooque Shaikh ka hain. Shaikh ke sirf frame mein hone se har scene ko chaar chand lag jaate hain!
Youngistaan aaj ke Hindustan ke naujawan ka drishtikon hain aur iss anokhi soch aur sandesh ka shrrey jaata hain director Syeed Ahmed ko, jinhone kuch naya karne ka shaas jataya.
Youngistaan ko Big Entertainment Ratings milte hain 3 stars jisme se 1 star sirf Farooque Shaikh ke liye hain.
                                                                **
Dishkiyaan senseless

Shilpa Shetty/ Eros International produced aur Sanamjeet Singh Talwar directed Dishkiyaaon ek aur underworld ki kahani hain aur shayad ab tak ki sabhi crime world ki filmon mein sabse banavti bhi!
Vickey ko bachpan mein uske class ka ladka roz zalil karta tha,  jisse badla lene ke liye, Vickey gangster ban jaata hain!
Kahani ka na sarr hain na paon. Samajh mein nahi aata ki Vickey apni kahani Sunny Deol ko kyon sunata hain…?
 Kyon ek gang doosri gang ke peeche hain aur ek gunda doosre gunde ke khoon ka pyaasa…?
Rocky ko Vickey chahiye, Vickey ko Tony, Khan ko Khaleefa, Khaleefa ko Gujjar aur Gujjar ko saara shehar!
Aisa lagta hain ki kissi ko kissi se koi real conflict nahi hain aur writer/ director saare characters ko bade parde par yuhhin, tahalaane laaye hain!!
Dil chahta hain ki kaash humare paas bhi revolver hota aur hum bhi sab ko yuhhin dishkiyaan kar dete!
Dishkiyoon ko itni mehnat aur paise kharch karne ke liye Big Entertainment ratings milta hain 1 star.
 Bhawana Somaaya/ Tweets @bhawanasomaaya

No comments:

Post a Comment