Filmistan entertains, Holiday enlightens
6/6/2014
UTV produced aur Nitin Kakkar likhi directed Filmistan,
Bollywood fan Sunny ki kahani hain.
Sunny
barson se filmon mein struggle kar raha hain aur ab tak anginat auditions se
nakara ja chuka hain.
Rajashthan
ke ek outdoor shooting ke dauran Sunny ka apharan kiya jaata hain aur wo apne
aap ko Pakistan mein paata hain!
Filmistan dekhne ki 5 vajah hain. Ek, film
ka brilliant concept. Filmistan ab
tak ki Hindustan/ Pakistan par bani sabse anokni film hain.
Do, film
ki sadgi. Director Nitin Kakkad jis thehrav se apni kahani aur kirdaron ko pesh
karte hain aap ka dil jeet lete hain.
Teen, film
ke samvaad jo zyadatar film dialogues par adharit hain isliye nostalgic hain aur
hilarious bhi.
Chaar, film
ke powerful performances jaise Aftaaab ki bhumika mein Inamullahaq aur sabse
badhhiyaaan Sunny yaane Sharib Hashmi.
Aur paach,
sabse aham, film ka message. Na film purane zakhm ka zikar karti hain aur na
badlav ka vaada.
Filmistan insaniyat ki kahani hain. Jasbaadon
ki kahani hain. Cinema ki kahai hain!
Filmistan
ko Big
Entertainment Ratings milte hain 4 stars.
**********************************************************************
Vipul Shah/Reliance produced aur
AR Murgadoss directed Holiday military officer Capt Viraat
Bakshi ki chuttiyon ki kahain hain.
Chuttiyon mein Viraat apne
liye shaadi ke liye ladki dekhta hain, pariwar/ doston ke sang samay bitata
hain aur 40 dinon ke andar terrorist gang ka sarvanash bhi karta hain!
Holiday dekhne ki 4 vajah hain. Ek, ye Sleeper Cells ke baare mein hain– yaane aise criminals, jo hamare
aas paas, aam zindagi jeene walon mein se hain jo desh drohi hote hain aur jo
iss vishay par ye pehli Hindi film hain.
Do film ka jaanbaaz action
aur gripping screenplay.
Teen, film ki attractive
starcast. Akshay ke dost ki bhumika mein Dipinder Sharma, uske senior ki
bhumika mein Govinda aur premika ki bhumika mein Sonakshi Sinha ek naya rang
late hain.
Char, Akshay Kumar jo jaan
leva action ke saath saath aapka bharpur manoranjan bhi karte hain.
Paanch, film ka social
message: ek scene mein army officer apni behan se poochte hain, ‘Kya desh ki
suraksha sirf army officer ka farz hain, ek civilian ki koi zimmedari nahi hoti?’
Crime world ko ek alag nazariye se pesh karne ke liyeHoliday ko Big Entertainment Ratings milte hain 4 stars.
Bhawana Somaaya/ Tweets @bhawanasomaaya
No comments:
Post a Comment