Watch 'Haider' for Vishal Bharadwaj & 'Bang Bang' for Hrithik.
3/10/2014
Haider
is Wow
Vishal Bharadwaj produced/ directed Haide, William Shakespear ki Hamlet ka adaptation hain.
Iske pehle, Vishal Bharadwaj ne Shakespear ki Macbeth ko Maqbool aur Othello ko Omkaara mein adapt kiya hain.
Ye Bharadwaj ki khaasiyat hain, ki wo har baar,
purani kahani ko naye vatavaran mein sajaakar, usse naye tarike se pesh karte
hain.
Maqbool Bhopal ki haveliyon ke
baare mein thi Omkaara western UP ki galliyon
ke baare mein aur Haider Kashmir ki
vaadiyon mein bassi hain.
Sabse pehle ye kehna zaroori hain ki Haider behad khoobsurat, visually
stunning hain!
Ye kahani hain saal 1995 ke militant Kashmir ki, jab
jheelein barfeeli, aasman dhudla aur banjar pedh kathai nazar aata tha.
Cinematographer Pankaj Kumar, Kashmir ke badalte
mausam, soonsaan sadak aur shikare ko ek kirdaar ke taurpe pesh karte hain.
Haider
bahtareen
likhi gayin hain, khaas taurpe film ke dialogues jo teer ki tarha dil ko
chubhte hain.
Kyon ki director, khud music composer bhi hain,
Vishal Bharadwaj, melody ko jasbaadon ka ohda dete hain.
Interval ke baad film thodi bikharti hain, kuch
editing ki wajah se aur kuch political issues par focus karne ki wajah se.
Sabhi performances, Arshee ki bhumika mein Shradha
Kapoor, Roohdar ki bhumika mein Irfaan Khan aur chacha ki bhumika mein Kay Kay
Menon lajawab hain!
Shahid Kapoor kabhi haule se aur kabhi shiddat se Haider ko
jeete hain…
Magar sab se
bahtareen hain Gazala yaane Tabu jisse aap theatre ke bahar nikal kar bhi nahi
bhula paate…
Aur usss se bhi haseen hain, Shahid-Tabu ki outstanding
chemistry!
Vishal Bharadwaj ki Haider anokhi hain, rassili hain… Ismein sangit hain, kavita hain,
dard hain, khauff hain, junoon hain...
Haider
agar nahi dekhi toh afsos reh jayega…
Haider
ko Big Entertainment Ratings milte hain 4 stars.
Watch
Bang Bang for Hrithik
Fox Star produced aur Siddharth Anand directed Bang Bang issi naam ki Hollywood film ka
authorized Hindi remake hain.
Kahani wohi purani, chor police ki hain, sirf iss
baar, sab ko talaash hain Kohinoor heere ki!
Jewel Thief Hrithik Roshan urff Rajveer Nanda, heere
ke saath saath, heroine Herleen ka dil churata hain…
Aur phir khulle aam, garam pakode khaate hue, beech
sadak ghumta hain...
Kohinoor Rajveer ke paas hain, isliye Rajveer ke
peeche villains hain, aur villains ke peeche police.
Bank receptionist Herleen, yaane Katrine Kaif, jo aaj
tak, kabhi Shimla ke bahar nahi gayi hain, ab chor/police se bachne ke liye,
Rajveer ke saath lapata hain.
Film ka plus film ki lavish mounting: ismein
helicopters hain, water boats hain, racing bikes, islands, villas, gambling
dens aur kabhi na khatam hone wala adventure!
Hrithik Roshan aur Katrina Kaif, kabhi helicopter se
kudte hain, kabhi underwater jaate hain, kabhi bhaagti gaadiyon se chalang
maarte hain, kabhi zabardast action karte hain aur kabhi, sapnon mein gaana
gaate hain..!
Fim mein kmmi hain, toh sirf logic ki...Kohinoor
heera kab aur kaise gayab hota hain, nahi malum….!
Itne saare villains milkar Rajveer ko kyon nahi
pakad paate, nahi paata…!!
Hrithik aur Katrina duniya bhar mein bagair
ticket/passport/visa kaise ghumte hain, nahi malum…!!!
Ye saari shortcomings ke bawajood Bang Bang dekhni chahiye, sirf aur sirf
Hrithik Roshan ke liye…
Action ho ya romance, dance ho ya drama, aap ek
second ke liye bhi, Hrithik Roshan se apni nazar aur dil hataa sakte aur ye
dawwa nahi vaada hain...!!!!
Bang
Bang
ko sirf Hrithik Roshan ke liye Big Entertainment Ratings milte hain 3 stars.
Bhawana Somaaya / Twitter: @bhawanasomaaya