Friday, 3 October 2014

Cutting Chai with Bhawana Somaaya - Day 454

Watch 'Haider' for Vishal Bharadwaj & 'Bang Bang' for Hrithik.
3/10/2014

Haider is Wow

Vishal Bharadwaj produced/ directed Haide, William Shakespear ki Hamlet ka adaptation hain.

Iske pehle, Vishal Bharadwaj ne Shakespear ki Macbeth ko Maqbool aur Othello ko Omkaara mein adapt kiya hain.

Ye Bharadwaj ki khaasiyat hain, ki wo har baar, purani kahani ko naye vatavaran mein sajaakar, usse naye tarike se pesh karte hain.

Maqbool Bhopal ki haveliyon ke baare mein thi Omkaara western UP ki galliyon ke baare mein aur Haider Kashmir ki vaadiyon mein bassi hain.

Sabse pehle ye kehna zaroori hain ki Haider behad khoobsurat, visually stunning hain!

Ye kahani hain saal 1995 ke militant Kashmir ki, jab jheelein barfeeli, aasman dhudla aur banjar pedh kathai nazar aata tha.

Cinematographer Pankaj Kumar, Kashmir ke badalte mausam, soonsaan sadak aur shikare ko  ek kirdaar ke taurpe pesh karte hain.

Haider bahtareen likhi gayin hain, khaas taurpe film ke dialogues jo teer ki tarha dil ko chubhte hain.

Kyon ki director, khud music composer bhi hain, Vishal Bharadwaj, melody ko jasbaadon ka ohda dete hain.

Interval ke baad film thodi bikharti hain, kuch editing ki wajah se aur kuch political issues par focus karne ki wajah se.   

Sabhi performances, Arshee ki bhumika mein Shradha Kapoor, Roohdar ki bhumika mein Irfaan Khan aur chacha ki bhumika mein Kay Kay Menon lajawab hain!

Shahid Kapoor  kabhi haule se aur kabhi shiddat se Haider ko jeete hain…

Magar sab se bahtareen hain Gazala yaane Tabu jisse aap theatre ke bahar nikal kar bhi nahi bhula paate…

Aur usss se bhi haseen hain, Shahid-Tabu ki outstanding chemistry!

Vishal Bharadwaj ki Haider anokhi hain, rassili hain… Ismein sangit hain, kavita hain, dard hain, khauff hain, junoon hain...

Haider agar nahi dekhi toh afsos reh jayega…

Haider ko Big Entertainment Ratings milte hain 4 stars.

Watch Bang Bang for Hrithik

Fox Star produced aur Siddharth Anand directed Bang Bang issi naam ki Hollywood film ka authorized Hindi remake hain.

Kahani wohi purani, chor police ki hain, sirf iss baar, sab ko talaash hain Kohinoor heere ki!

Jewel Thief Hrithik Roshan urff Rajveer Nanda, heere ke saath saath, heroine Herleen ka dil  churata hain…

Aur phir khulle aam, garam pakode khaate hue, beech sadak ghumta hain...

Kohinoor Rajveer ke paas hain, isliye Rajveer ke peeche villains hain, aur villains ke peeche police.

Bank receptionist Herleen, yaane Katrine Kaif, jo aaj tak, kabhi Shimla ke bahar nahi gayi hain, ab chor/police se bachne ke liye, Rajveer ke saath lapata hain.

Film ka plus film ki lavish mounting: ismein helicopters hain, water boats hain, racing bikes, islands, villas, gambling dens aur kabhi na khatam hone wala adventure!

Hrithik Roshan aur Katrina Kaif, kabhi helicopter se kudte hain, kabhi underwater jaate hain, kabhi bhaagti gaadiyon se chalang maarte hain, kabhi zabardast action karte hain aur kabhi, sapnon mein gaana gaate hain..!

Fim mein kmmi hain, toh sirf logic ki...Kohinoor heera kab aur kaise gayab hota hain, nahi malum….!

Itne saare villains milkar Rajveer ko kyon nahi pakad paate, nahi paata…!!

Hrithik aur Katrina duniya bhar mein bagair ticket/passport/visa kaise ghumte hain, nahi malum…!!!

Ye saari shortcomings ke bawajood Bang Bang dekhni chahiye, sirf aur sirf Hrithik Roshan ke liye…

Action ho ya romance, dance ho ya drama, aap ek second ke liye bhi, Hrithik Roshan se apni nazar aur dil hataa sakte aur ye dawwa nahi vaada hain...!!!!

Bang Bang ko sirf Hrithik Roshan ke liye Big Entertainment Ratings milte hain 3 stars.

Bhawana Somaaya / Twitter: @bhawanasomaaya

No comments:

Post a Comment