It is Super
Rekha
31/10/2014
Maruti International produced aur Indra Kumar
directed Super Naani kahani hain Bharti
Bhatia ki, jisne apna pura jeevan, apne pariwar ko samarpit kiya.
Dekhne mein Bharti ki zindagi mein koi kummi nahi
hain – kamyab pati, 3 bachche aur alishaan ghar.
Magar kummi hain. Bharti ke pati RK Bhatia aur unke bachche, har roz, kissi baat par, Bharti ko tokte hain, nazar andaaz karte hain.
Phir ek din, naani ka navasa Sharman Joshi, apne
naunihal aata hain aur naani ka swabhimaan lautata hain.
Film ka sabse bada problem weak screenplay aur conflicting
characterizations hain.
Jab Bharti jaahil nahi hain, toh uska pariwar Bharti
ki beizzati kyon karte hain? Jab bachce baad mein, maa ki kadar karte hain, toh
sulah ki wajah itni swaarthi kyon hain?
Film ka khayal nek hain magar pesh karne ka tarika
sadiyon purana.
Director Indra Kumar maa ki prashansa karna chahte
hain magar Randhir Kapoor ka aakhri dialogue auraton ke liye apman janak hain!
Nayi ladki Shweta Kumar sundar hain, Sharman Joshi
competent, Rekha, kirdaar ke hisab se, first half mein over-made up aur second
half mein subhanallah!
Super
Naani ko sirf Rekha ke liye Big Entertainment Ratings
milte hai 2.5 stars.
Bhawana
Somaaya/ @bhawanasomaaya
No comments:
Post a Comment