Friday 3 April 2015

Cutting Chai with Bhawana Somaaya - Day 558

Detective Byomkesh Bakshy: Detective dull ambiance enthralling.
3/4/2015

Yash Raj Films produced aur Dibakar Bannerjee directed Detective Byomkesh Bakshy Bengal ke prakhyat lekhak Shardindo Bandhyopadhyay ki kahani hain.

Iss mashoor kirdaar ne sainkdo kitabein, natak roopantar, television ko prerit kiya hain aur iss baar mainstream cinema ka vishay bhi bana hain.

Film ka sabse bada plus film ka outstanding art design. Ghar, sadak, vahan, vastu, kapde, bhasha, achar vyavhar sab kuch 1942 period ke hisab se hain.

Film ka sound, camerawork, lighting, music, props phir wo cigarette box ho ya chai ka cup sab kuch detailed hain jo director ki khasiyat hain.

Dibakar Bannerjee ne 9 saalon mein 6 filmein banayi hain aur sabhi filmein shaandar hain.

2006 ki Khosla Ka Ghosla zameen ki ladai thi toh 2008 ki Oye Lucky! Lucky Oye! class consciousness par charcha.

2010 ki Love Sex aur Dhokha badalte samaj ka aina thi, 2013 ki Shanghai badalte samaj ki sachai.aur 2013 ki Bombay Talkies baap bête ki prem kahani.

Detective Byomkesh Bakshy Bannerjee ki pehli film hain jo mudeein se zyaada kirdaar ko ahmiyat deti hain aur shayad yehi film ki failing hain.

Film ka narrative nirras hain aur kahani ka emotion quotient zero. Na Byomkesh ka kirdaar manmohak hain aur na hero Sushant Singh ka performance. Hum kissi kirdaar ke saath koi rishta nahi bandh paate.

Agar aap entertainment chahte ho toh Detective Byomkesh Bakshy aap ke liye nahi hain magar aap cinematic experience ke bhookhe ho, toh Detective ko miss mat karna!

Detective Byomkesh Bakshy ko Big Entertainment Ratings milte hain 3 stars.

Bhawana Somaaya/ @bhawanasomaaya

No comments:

Post a Comment