Friday, 17 April 2015

Cutting Chai with Bhawana Somaaya - Day 568

This Friday its all about performances!
17/4/2015

Shonali Bose directed Margarita with a Straw 19 saal ki differently challenged ladki, Laila, yaane Kalki Kochelin ki kahani hain.

Laila honhaar musician hain aur apne group ke liye gaane bhi likhti hai.

Wo ek aam zindagi jeena chahti hain aur Shubhangi, Laila ki maa, yaane Revathy, uski ye koshish mein  madad karti hain.

Film ka sandesh ye hain ki disabled ke bhi wohi armaan aur jasbaad hote hain, jaise humare aur aap ke, aur ye hi film ka contradiction hain.

Laila university mein sangit ki taalim le rahi hain magar kahani sirf aur sirf, Laila ke sexual preoccupations par focus karti hain!!

Film privacy ka mudda uthati hain magar Laila ko hum bathroom, bedroom, personal shopping aur private website par bhi  dekhte hain.

Sach toh ye hain, ki hum kirdaar  se heroism ki apeksha karte hain, magar afsos, filmmaker hume voyeurist ka anubhav karaati hain.

Ye Kalki Kochelin ke career ka best performance hain aur usse bhi behtar hain maa-beti Revathy- Kalki ka rishta.

Margarita with a Straw ko bahtarteen performances ke liye Big Entertainment Ratings milte hain 2.5 stars.

*********************************************************************

Vishesh Films produced aur Vikram Bhatt directed Mr X kahani hain ek invisible officer ki jo adrashya rehkar apna badla leta hain aur sab ko nyay dilate hain.

1987 mein Shekhar Kapoor ne issi vishay par ek film banayi thi Mr India.

Mr India mein Anil Kapoor ke paas ek magic bracelet tha, jiska button on/off kar ke, wo visible/ invisible ban jaate thee.

Vikram Bhatt ka hero, Raghu, yaane Mr X, ke problems aur paristhitiyaan zyaada complicated hain.

Film ka plus, film ka music, production values, action, special effects aur Emraan Hashmi jo koi bhi role mein fit ho jaate hain.

Film ka minus na isme dil hain, na jaan, toh 3D chashme pehno aur popcrn khao.

Mr X  ko Big Entertainment Ratings milte hain 2.5 stars

No comments:

Post a Comment