Friday 27 May 2016

Phobia is scary - DAY 831 A


Pawan Kirpalani directed aur Viki Rajani likhi Phobia matlab ek prakar ka darr, kahani hai ek mashoor artist Mehak yaane Radhika Aapte ki jo Agrophobia naam ki bimari ki shikar hai. Medical bhasaha mein Agrophobia matlab ghar ke bahar public places aur logon ke beech mein rehne ka darr.
Mehak ki zindagi mein, ek raat, aisa kuch ho jaata hai, jiske baad woh ghar se nikalna bandh kar deti hai, painting karna chod deti hai…
Ab Mehak sara samay ghar ki chaar dewari mein bandh  rehti hain aur uski zindagi aur bhi mushkil ho jaati hai.
Film ka plus: film ka refreshing subject aur thriller treatment.
Film ka minus: film lambi hai aur repetitive bhi.
Agar aap kissi phobia ka shikar ho toh aap iss Phobia se door rahe, agar aap ko psychology aur thrillers mein dilchaspi hai toh Phobia aap ke liye hai.
Phobia ko sirf Radhika Aapte ke super performance ke liye Big Entertainment Ratings milte hain 2 stars.

@bhawanasomaaya

No comments:

Post a Comment