Omang Kumar directed Sarabjeet Pakistan ki jail mein barson tak qaid rahe Hindustani kisan
Sarabjeet Singh ki kahani hai.
Amritsar ke Bhikwindi gaon ka Sarabjeet Singh ek
raat, apne khet se lautte hue, galti se Pakistan border paar karta hai aur
giraftar ho jaata hai.
23 saal tak, Pakistan sarkar Sarabjeet ko Lahore
mein bomb blast karwane wala Manjeet maanti hain.
Aur 23 saal Sarabjeet ki behan Dalbir Kaur apne bhai
ki begunahi ki ladai ladti hai.
Film ka minus: film ki disjointed story telling aur
slow paced editing jo tragedy ko aur bhi depressing bana deti hai.
Film ka plus: film ka detailed art design, camera
work, costumes, music or performances…
Lawyer ke role mein Darshan Kumar aur Sarabjeet ki
patni bani Richa Chadha lajawab hai! Dalbir Kaur, Aishwarya Rai ke career ka
sab se brave aur musjkil performance hai aur Sarabjeet Singh, Randeep Hooda ka
sabse behtar aur yadgaar performance!
Aise kirdaaron ko humara dil chalni kar dena chahiye
tha jo nahi hota hai…
Shayad isliye, kyon ki ye film bhi Sarabjeet ki
zindagi ki tarha kuch tooti-bikhri-nirash-aur-neerras hai!
Agar aap ko manoranjan ki talash hai toh Sarabjeet aap ke liye nahi hain.
Agar aap ko itihaas mein, samajik muddon mein,
pariwar mein ruchi hain, toh Sarabjeet
aap ke liye hai.
Sarabjeet
ko sache performances, nek sandesh aur prayas ke liye Big Entertainment Ratings
milte hain 3 stars.
@bhawanasomaaya
No comments:
Post a Comment