Friday, 10 January 2014

Cutting Chai with Bhawana Somaaya - Day 262




Dedh Ishqiyaan seduces and Yaariyaan bores
10.01.14





Vishal Bharadwaj produced aur Abhishek Chaubey directed Dedh Ishqiyaan ek baar phir Khalujaan/ Naseerudin Shah aur Babban/ Arshad Warsi ke karnamon mein hume shamil karti hain. 
Saal 2008 ki Ishqiyaan mein Iftikhar aur Razzak Hussain apne sardar Mushtaq jo unko zinda dafnane wale thhe ko chakma dekar apne purane saathi ke ghar Gorakhpur mein sharan li thi.
Wahan unhe apna dost to nahi mila magar mili uski rangili bewaa Krishna Verma yaane Vidya Balan jisse dekhti hi Khaalu aur Babban ka dil aagaya.
Isqiyaan mein Khaalu aur Babban ne apna raaz ek doosre se chupaya tha, jiska fayda Krishna ne uthaya! Krishna ki ye chalaki ko maaf karte hue, dono ne milkar usse maut aur Mustaq se bachaya tha!!
Ab chaar saal baad Dedh Isqiyaan mein Iftikhar aur Razzak Hussain aapko Mehmudabad mein milenge.
Iftikhaar saab Begum Para ke swayamvar mein shamil hain isliye sherwani pehankar sher sunate hain aur Hussain miya kyon ki Iftikhaar ka peecha kar rahe hain isliye unke khadin bankar unke paas rehte hain.
Iss baar Khaalu aur Babban ke beech koi raaz nahi hain. Khallu ko Begum yaane Madhuri Dixit se ishq hain aur Babban Munniya yaane Huma Qureshi par lattu hogaye hain.
Dedh Isqiyaan mein Lucknow ka mahaul aur mijaaz hain, navaabi kothiyaan, roshandar mehfil, nritya, adab, jasbaad, luft aur zabaan, sabhi kuch hain.
Satyajit Pande ki cinematography, Vishal Bharadwaj ka surila sangit aur tadakedar dialogues, Gulzar ke lyrics, Rekha Bharadwaj ki nashili awaaz aur ensemble performances –Manoj Pahwa, Vijay Raaz, Huma Qureshi, Arshad Warsi, Naseerudin Shah aur Madhuri Dixit.
Bade miya Naseer aur begum Dixit toh lajawab hain hi magar chotte miya Arshad aur Huma Qureshi subhanallah!!
Dedh Ishqiyaan ko masti bahar manoranjan ke liye Big Entertainment Ratings milte hain 3.5 stars.




Bhushan Kumar produced aur Divya Khosla directed Yaariyaan Darjeeling ki school hostel mein padhte students ki kahani hain.
School ke salana jalse mein students se kuch aisi harkat hoti hain jisse naraaz hokar Principal unhe ek challenge dete hain – ek aisa challange jis par school ki izzat aur desh ka maan tikka hain.
School ka 5 member team Australia ki spardha mein bhaag leta hain jiske baad Australian team final round ke liye India aate hain.
Film Sikkim aur Australia ke khupsurat locations mein shoot ki gayi hai. Problem ye hain ki kahani bohat saare muddon ko uthati hain aur kissi ke saath insaaf nahi karti.
Main director Divya Khaosla ko paanch sawal poochna chahti hoon:
1.Aisi kaunsi school hain Hindustan mein jahan bahar ka desh casino kholne ki himmat karega?
2.Jab do deshon ke beech rock band// chess game/ motorbike jaisi specialized ki spardha rakhi jaati hain toh iske liye kuch taiyaari/ preparation karna zaroori nahi hain?
3.Agar koi Indian student racial discrimination ka shikar hokar mar jaata hain toh uske parents ko ittala kiya jaata hain ya uski asthiyaan ghar bheji jaati hain?
4.Ye kaisa school student hai jo bagair professional training pahaad chadhta hain, sarovar mein tairta hain aur building par chalange maarta hain?
5.Ye kaise teachers hain jo aise kapde aur embarrassing vyavhaar karte hain? Ye kaisa principal hain jo aise khatarnakh khel ki parwangi deta hain?
Yaariyaan ko  sundar locatins, melodious purane gaane aur ek koshish ke liye Big Entertainment Ratings milte hain 2 stars.

No comments:

Post a Comment