Kick deserves a kick!
25/07/2014
Sajid Nadiadwala likhi aur directed Kick Devilal yaane Salman Khan ki kahani
hai jo zindagi ke har pal mein ek kick yaane mazaa talaashta hai.
Isliye wo tez bike chalata hai, doston
ko bhagakar shaadi karata hai, khupsurat ladki ke gale padta hai aur badmasho
ko sabak seekhata hai.
Jail ke andar qaidiyon ke saath, jail
ke bahar bachon ke saath aur pub mein ladkiyon ke saath, Devi sab ka man jeet
leta hai.
Phir ek din kuch aisa hota hai ki Devi
Devil ban jaata hai…
Credits mein 6 writers ke naam diye
gaye hai jinme shamil hai director Sajid Nadiadwala aur bestselling author
Chetan Bhagat – itne saare naamon ke bawajood film mein koi plot ya kahani nahi
hai.
Bohat saare actors zaroor hai magar saare
kirdaar naqli aur saare jasbaad joothe hai.
Kissi kirdaar ka kissi se na koi sacha
rishta hai aur na sachi shikayat ya samasya.
Jacqueline Fernandes acha naachti hai.
Randeep Hooda acha action karta hai. Saurabh Shukla acha bolta hai aur
Nawazudin Siddiqui acha actor hai magar ye saari achaiyon ko milakar fiolm nahi
banti!
Director Sajid Nadiadwala ko pata hona
chahiye, ke exotic locations, designer costumes aur expert camera work se
filmein nahi banti!!
Actor Salman Khan ko bhi maan lena
chahiye, ke jaan leva stunts, naach gaana, music, romance aur masala dialogues
se performances nahi bante!!!
Bohat ho gayi Dabngg/ Bodyguard ki
bhaigiri, bohat mana li100/250 aur 300 karodo ki Jai Ho box-office par, bohat mana liya superstar ka jashan, ab kuch
serious acting bhi ki jaye.
Film ke aakhri scene mein Salman Khan kehte
hai, ‘Main dil mein aata hoon, samajh mein nahi’.
Samay aa gaya hai Salman Khan ke aap
ki filmein bhi samajh mein aaye, warna aap ko dil se majbooran uttaar na hoga.
Kick ko dukh ke saath Big Entertainment
Ratings milte hai 2 stars.
Bhawana Somaaya/ tweets @bhawanasomaaya
No comments:
Post a Comment