Friday, 11 July 2014

Cutting Chai with Bhawana Somaaya - Day 388

'Humpty Sharma Ki Dulhaniya' is nice but not special.
11.07.2014

Dharma produced aur Shashank Khaitan directed Humpty Sharma ki Dulhaniya ek aur Dilwale Dulhaniya Le Jayenge ki copy hai balki credits mein DDLJ ko tribute bhi diya gaya hai.

Simran-Raj ki 20 saal purani prem kahani ko tabdiliyon ke saath dohraate hai Ambala ki Kaavya aur Delhi ka munda Humpty.

Kaavya yaane Alia Bhatt galti se nahi, apni marzi se beer peeti aur marzi se pyaar karti hai.

Ussi  tarha se, Humpty Sharma yaane Varun Dhawan, apne hone wale saur ke saath, kabootaron ko daana nahi dalta balke unke saath sutta lagata hai.

Film ka first half Kaavya ka designer lehenga aur Humpty aur uske doston ki shararaton mein nikal jaata hai.

Film ke second half mein na kahaani hai aur na surprises! Humpty Jab We Met ke hero ki tarha heroine ki shaadi mein shamil hota hai aur Maine Pyaar Kiya ke hero ki tarha hone wale sasur se challenge leta hai.  

Film ka plus film ka music aur Varun-Aliya ki presence aur performance. Yakeenan iss jodi ki chemistry aur energy kamaal ki hai!

Film ka minus film ka unimaginative aur poorly edited climax. Aisa mehsoos hota hai jaise director ne kuch mashoor filmo ko food processor mein daalkar, thoda sa tadka lagakar hume parrossa hai.

Jis prakar se humare filmmakers’ aaj kal sirf feel good cinema bana rahe hai kuch sawaal aise modd par poochna zaroori hai…

Kya aaj ke audience ko sach much pyaar ke alava aur koi fikarr, zimmedari, parwah, soch ya dilchaspi nahi hai?

1950 aur 60 ke dashak mein bhi Dilip Kumar mohabbat karte thhe magar saath hi unki filmein samaaj aur desh ki samasyaein bhi pesh karti thi?

1970 ke dashak mein writers Salim-Javed ne hero Amitabh Bachchan se kitne social muddein uthaayein aur pareshaniyon ka hall bhi diya.

Prem kahani sab pasand karte hai magar writers/ directors ko bhi koshish karni chahiye ki kahani original ho.
Varun Aliya jaise new gen actors ko ye sochna hoga ki prem ke alava bhi jeevan hai warna puri jawani sirf love stories mein guzar jaayegi.

Humpty Sharma ki Dulhaniya acchi hain magar khaas nahi. Humpty Sharma ki Dulhaniya ko Big Entertainment Ratings milte hain 3 stars.

Tune into Friday ka Faisla reviews and star ratings every morning 9.15 on breakfast link with me on @927BigFm.


Bhawana Somaaya/ Tweets @bhawanasomaaya

No comments:

Post a Comment