Friday, 12 September 2014

Cutting Chai with Bhawana Somaaya - Day 435

Finding Fanny is Finding Joy!
12/9/2014

Vishal Bajaj produced aur Homi Adajania directed Finding Fanny Goa ke chotte gaon Pocolim ki kahani hain.

Pocolim aisa gaon hain, jahan sab ek doosre ko jaante hain aur chahe na chahe, ek doosre ki zindagi mein shamil hain.

Homi Adajania aur Kersi Khambatta likhi iss kahani ke paanch khaas kirdaar hain:
Pehla, aur sabse senior, Ferdie, yaane Naseerudin Shah. Fredie akela hain, udaas hain aur zindagi se bezaar bhi.

Doosri, Rosie, yaane Dimple Kapadia. Rosie Pocolim ki shaan hain aur sab ki raazdaar bhi.

Teesri, Angie, yaane Deepika Paukone. Angie hasmukh hain, humdard hain aur kahani ki sutradhar bhi.

Chautha, Savio, yaane Arjun Kapoor, jo thoda confused aur thoda budhu hain.

Paanchva, Don Pedro, yaane Pankaj Kapoor. 

Pedro artist hain aur apne aap se bohat prabhavit hain.

Ek din, Fredie ki zindagi mein aisa kuch ho jata hain, jiski wajah se, Freddie ko Pocolim ke bahar jaana padata hain.

Freddie ko iss safar mein chahiye Angie ka saath...

Angie ko  zaroorat hai Savio ki madad ki …

Savio, Pedro ki ijaazat ke bagair koi vaada nahi kar sakta…

Aur Pedro, Rosie ki rajamandi ke bagair kuch karna nahi chahta…

Chakkar pe chakkar hain, aur jasbaadon ki guthli mein chuppaye hain rishtey…

Film ka plus, film ki casting, characterizations aur performances hain…

Naseerudin Shah aur Deepika Pdukone ki khaas chemistry aur Dimple Kapadia, Pankaj Kapoor ki khaas adayein.

Being Cyrus aur Cocktail ke baad, director Homi Adajania Finding Fanny mein, ek baar phir, samma bandh lete hain!

Jis tarha se baarish mein bhutta aur thandi mein paratha khane ka ek mood banta hain...

Ussi tarha se, Finding Fanny dekhne ka bhi ek khaas mood banta hain...

Finding Fanny ko humare dil aur dimaag refresh kar neke liye, Big Entertainment Ratings milte hain 3.5 stars.


Bhawana Somaaya/ Tweets @bhawanasomaaya

No comments:

Post a Comment