Priyanka shines as Magnificent
Mary Kom
9/4/2014
Sanjay
Leela Bhansali produced, aur Omang Kumar directed, Mary Kom, Hindustan ki teen time Olympic Boxer, MC MaryKom ki kahani
hain.
Manipur
ke Imphal gaon mein pali badi, Chungejaan, ke appa chahte hain, ki uski beti athlete bane, magar MaryKom ka
sapna Boxing hai!
Natural
light aur real locations mein shoot ki gayi ye biopic, pahadi galiyon se
jhoomti hui, Turkey aur China ke tournaments mein jhilmilati hain aur ghar waapas
laut aati hai.
Bahtareen
likhi, aur kathin paristithiyon mein filmayi, Mary Kom aspirational hain aur aham muddein bhi uthati hai…
Mudda 1:
Ladki boxer nahi ban sakti…Mudda 2: Boxer shaadi nahi kar sakti…Mudda 3: Maa banne
ke baad, boxer match nahi jeet sakti...
Ye
samajik muddon ke alava, kuch mudein pariwarik hain – Mudda 4: pati aur bachon
ko ghar chodkar patni kaam pe nahi jaati...
Kuch
mudein sarkari- Mudda 5: Player ko agar selection list mein aana hain, toh sport
federation ke khilaaf awaaz nahi uthate…
Aur kuch
mudein rashtriya – Mudda 6: Manipur Bharat ka hissa hote hue bhi kyon paraya kar
diya jaata hain...
Film ke
dialogues aur sangit mein Manipur ki sugnadh aur Sanjay Leela Bhansali ki editing mein apne
protagonist ke liye samarpan!
Kissi
bhi kamyaab zindagi ko 2.5 ghante ki film mein pesh karna mushkil hai.
Director
Omang Kumar Mary Kom ke school uniform se shuru hua safar, uske bachon ki
nappies, aur phir se, boxing ring tak tayy karte hai.
Priyanka
Chopra Mary Kom ki rooh mein kuch iss tarha se samma jaati hain, ki uske
astitva ki maujudgi bhi mehsoos nahi hoti.
Wo khidkiyon
se chalang marti hain, ghar ki gayy ko nehlati bhi hain…Wo zanjeer/ loha/
patthar ko thaame, kasrat karti hain, rishtedaro ke saath naachti bhi hai…
Wo kitchen
mein khana pakati hain, bachon ko lori sunati hain, aur boxing ring mein apne opponent
ko datt ke peetti hai!!
Ye
zaroori nahi ki har film humara maoranjan kare - Mary Kom ka updesh sahas hain.
Ismein
stheerta hai…sachai hai…saadgi hai… aur ye saare gunno ke liye Mary kom ko Big Entertainment Ratings
milte hai 4 stars.
Bhawana
Somaaya/ Tweets @bhawanasomaaya
No comments:
Post a Comment