Garam Hawa relevant after 40 years. Kill/ Dil
disappoints.
14/11/2014
Ishan Arya produced aur M S Sathyu directed Garam Hawa ab tak ki partition filmon
mein sab se bahtareen film hain.
Wo isliye ki azaadi ki kahani hote hue bhi ismein
koi hinsa nahi dikhayi gayi hain.
Batwaare ke 26 saal baad, jab ye film saal 1973 mein
release hone ko thi, tab sab se pehle, Censor Board ne subject ke khilaaf
objection uthaya.
Baad mein Bombay ki ruling party ne virodh kiya aur
aur phir Opposition ne isse Pakistan funded film bataya.
Jab Revising Committee ne aakhir mein film ko pass
kiya, tab protestors ne film ko uttejit batakar ban kar diya!
Ye alag baat hain ki Garam Hawa ko sabhi rashtriya aur antarashtriya puraskaron se
sammanit kiya gaya.
Balraj Sahni ko iss film ke liye Best Actor National
Award samarpit kiya gaya magar iss khabbar ke ek din pehle hi, Balraj Sahani ka
intekal ho gaya.
Writer Ismat Chugtai ki kahani par adharit, Shama
Zaidi- Kaifi Azmi likhi Garam Hawa
Balraj Sahni ki aakhri aur Farooque Shaikh ki pehli film hain. Director M S
Sathyu aur cmeraman Ishaan Arya ki bhi
pehli film hain.
Ye gaurav ki baat hain ki 40 saal purani film saal 2014
mein restore hokar theatre mein release hui hain.
Ye dukh ki baat hain ki 70 saal baad bhi, communal
riots se jude muddein aaj bhi utne hi relevant hain jitne saal 1947 mein thhee,
balki usse kai zyaada!
Garam
Hawa ko Big Star entertainment ratings dainay ki meri kya
aukaad – aap ne agar isse nahi dekha toh apne desh ko nahi samjha!
****
Yash Raj Films produced
aur Shaad Ali directed Kill/Dil do
dost aur unke Bhaiyaaji ki kahani hain.
Bhaiyaaji yaane Govinda
ne Dev/ Ranveer Singh aur Tutu/ Ali Zafar ko kachre se uthakar paal poss kar
bada kiya hain.
Dev aur Tutu Bhaiyaaji
ke liye, kabhi/ kahin aur kissi ka bhi murder kar sakte hain.
Kahani mein twist aata
hain jab Dev ko Parineeti Chopra se pyaar ho jaata hain aur wo shareef banna
chahta hain.
Film ka first half,
unrealistic hone ke bawajood, racy, funny, witty aur engaging hain, problem,
film ka second half hain jisme na surprises, na naveenta aur na hi conviction!!
Aakhir tak samajh mein
nahi aata, ki kaun, kahan, kaunse shehar ya galli mein rehta hain? Kyon villain
ka ghar mahal nazar hain aur hero ka ghar tabela? Kyon Gulzar saab har gaane ke
pehle sher sunate hain?
Film ka minus film ka
screenplay, film ka plus, film ka music khaas taurpe ShankarMahadevan- SonuNigam
ka title song aur saare performances:
Parineeti Chopra, Ali
Zafar, Ranveer Singh, Govinda energetic hain magar dil mein ghar nahi karte Jhoom
Barabar Jhoom ke saat saal ke baad, director Shaad Ali se bohat umeed thi,
magar baat nahi bani.
Kill
/Dil
ko Big EntertainmentRatings milte hain 2.5 stars.
Bhawana Somaaya/ @bhawanasomaaya
No comments:
Post a Comment