Friday, 7 November 2014

Cutting Chai with Bhawana Somaaya - Day 475

Leave your brains for Shaukeen carry your heart for Rang Rassiya.
7/11/2014

Jayantilal Gada presented aur Ketan Mehta directed Rang Rassiya kahani hain Hindustan ke pehle mashoor painter Raja Ravi Verma ki.

Ek chotta balak mandir ki deewar par haathi ka chitra banata hain aur Keral  ke raaja ki nazar mein aata hain.

Kalimanor se shuru hui ye kahani, Madras men palti hain. Travancore ke raaja ki chatrachaya mein chitrakaar Ravi desh bhar ghumte hain aur Banaras, Rajasthan, Khajuraho ki kahaniyaan apne chitra mein pesh karte hain.

Rang Rassiya ek chitrakar ki jeevan gaatha toh hain hi, saath hi mein, us daur ka saamajik aaina bhi! 
Kya ek kalakar ko rajneeti aur dharam ke bandhan mein bandh na sahi hain..? Kya kissi prerna ka, kalaakar ki kalpana ke bahar koi astitva hota hain..?

Sau saal pehle jisse hum ashleelta kehte thhe, wo aaj naitikta hain... Sau saa pehle jisse hum acchoot pukarte thhe, aaj aisa sochna bhi gunah hain!

Film ka minus film ka screenplay hain. Ravi Verma ki zindagi jis raftaar se bhaagti hain koi bhi jasbaad dil mein nahi theharta.

Film ka plus film ki cinematography, Sandesh Shandaliya ka sangit, Nitin Chandrakant Desai ka production design. Aasmaan mein udti patange…raaste mein bhaagti buggiyaan …parbaton se jhumte jharne aur diye talle magnna do premee…

Randeep Hooda ke performance mein Ravi Verma ki sachai hain aur Nandana Sen mein unki prerna Sugandha ki sundarta.

Ketan Mehta ki Rang Rassiya rang aur rass se bharpur hain… Kala ke rang aur vicharon ke rass…

Rang Rassiya ko Big Entertainment Ratings milte hain 3.5 stars.
___________________________________________________________________

Murad -Ashwin Varde produced, Abhishek Sharma directed The Shaukeens Dilli ke teen buzurg doston ki kahani hain, jo wo sab kuch karna chahte hain, jo unhone ab tak nahi kiya.

Wo har subah, varrdish ke bahane, jawan ladkiyon ko ghurrte hain aur apne kaam ke dauran iss se bhi burri harkate karte hain.

Teeno dost Mauritius jaane ka plan banate hain, jahan unki mulakate hoti hain khubsoorat Aahana, yaane Lisa Haydon se.

Aaahana ko filmstar Akshay Kumar mein dilchaspi hain aur buddhon ko Aahana mein. Film ka idea Basu Chaterjee ki saal 1982 ki Shaukeen se prerit hain magar film adaptation nahi hain.

Basu Chaterjee ki Shaukeen adventure ke baare mein thi, Abhishek Sharma ki The Shaukeens hawas ke baare mein hain.

Writer Tigmanshu Dhulia ne samay ke anusar kahani ko badla hain isliye isme bikini, beaches, chamapne, clubs, facebook, fanmail toh hain hi, magar saath mein, ek film star ki kahani ko bhi joda hain.

Film ka plus Anupam Kher, Annu Kapoor aur dil kholkar apna mazak udaate hue, Akshay Kumar. Film ka minus aap film dekhkar samajh jaayoge. 

Saal 1982 mein teen buddhon ka shaukh farmane Goa jaana samajh mein aata hain, magar saal 2014 mein, unka  ek hi baat ke liye itna pagal hona hazam nahi hota!

The Shaukeens behad silly hain magar foolishly funny bhi!! Bas khayal rahein ki dimaag ko apne saath theatre na le jaiyeein.

The Shaukeens ko Big Entertainment Ratings milte hain 3 stars.


Bhawana Somaaya/ @bhawanasomaaya

No comments:

Post a Comment