Ugly
is Interesting
26/12/2014
Anurag Kashyap likhi/ produced aur directed Ugly ek pariwarik ghatna ki kahani hain.
Ek aisi samasya jiska samadhan saat dinon tak nahi
milta.
Aur ye saat dinon mein, bohat kuch badalta hain
–aapsi rishtey aur sab ki apni khwaishein.
Film ka plus film ka plot aur kamaal ka narrative.
Director Anurag Kashyap, apne characters aur unke
bahtareen performances dwaara ordinary situations ko extra-ordinary banate
hain.
Tejaswini Kolhapure aur Ronit Roy ke saath, chotte
se chotte role mein, har kalakar gair-mamuli hain.
Wo hume hasaate hain, darrate hain, chintit karte
hain.
Ugly
zindagi ki badsoorti ke baare mein hain isliye dark hain- depressing hain-
violent hain- negative hain.
Agar aap mein aisi filmein jhelne ki shammta nahi
hain, toh Ugly aap ke liye nahi hain.
Magar agar aap Anurag Kashyap ka temperament aur
cinema pasand hain toh Ugly zaroor
dekhiyein.
Realistic cinema ko ek aur oochain par le jaane ke
liye Ugly ko Big Entertainment
Ratings milte hain 3.5 stars
Bhawana
Somaaya/ @bhawanasomaaya
No comments:
Post a Comment