Phantom
Films produced aur Anurag Kashyap likhi directed Bombay Velvet kahahi
hain 1949 se 1969 daur ki, jab British, Portuguese, Parsi, Anglo culture
Bharat ka hissa tha.
Jab
sadkein sumsaan aur samundar Neela tha aur sharab, bazaar jurm khule aam
hota tha.
Ye
kahani hain Mumbai shehar, aur isse banana wale kiradaar - media,
industrialists, police, politician, underworld aur kalakaron ki. Unki aakankshaon
aur sapnon ki.
Saath
hi mein, ye dilchasp premi, boxer Balraj aur club singer Rosie ke andheri
galiyon se roshan mehfil tak ke safar ki.
Film
ka minus, kahani mein, ek saath bohat saare kirdaar, bohat saare raaz aur aur
bohat saare tracks chalte hain, jiski wajah se, film lambi, complicated aur
kuch bikhar jaati hain!
Film
ka plus film ka art design, cinematography, music, lyrics, detailed sets,
costumes aur ensemble performances...
Guest
appearance mein, Raveena Tandon, supporting cast mein Vivaan Shah, Kay Kay
Menon, Manish Chaudhary aur Khambatta ki bhumika mein Karan Johar, samma
baandhte hain!
Anushka
Sharma Rosie ko pehle sankoch aur darrd mein aur baad mein sthirta aur aatma
vishwas ka anubahv karvati hain.
Rocket
Singh, Wake up Sid, Raajneeti, Rockstar aur Barfii
ke baad Ranbir Kapoor apne ek aur kirdaar, Johnny Balraj mein jaan phoonkte
hain.
Bombay
Velvet ‘feel good cinema’ nahi, ‘feel enlightened cinema’ hain.
Isse
har haal mein dekhni chahiyein, unhe, jo uss daur mein pale bade huein.
Aur
khaas taurpe yuva peedhi ko, kyon ki aisa mauka baar baar nahi aata.
Bombay
Velvet ko Big Entertainment Ratings milte hain 4 stars.
Bhawana
Somaaya/ @bhawanasomaaya
No comments:
Post a Comment