Friday, 1 May 2015

Gabbar Is Back: When Villain turns Hero - Day 574



 











Sanjay Leela Bhansali produced aur Radha Krishna Jagarlamudi directed 
Gabbar is Back kahani hain bhrashtachar ki.

Ek desh premee, Akshay Kumar, apni toli banakar, desh ke har profession aur department se corruption khatam karne ki thhan leta hain.

Wo aur unke saathi system ke bahar rehkar system se ladte hain aur janta ko jagrit karte hain.

Kabhi wo collectors ko expose karte hain, kabhi excise officers ko...

Kabhi aspatal aur doctors ka parda faash hota hain, kabhi politicians ki raaj neeti ka aur kabhi police force ke iradon ka…

Film ka plus, film ka sandesh- kahani samajik mudein uthati hain phir bhale hi sab kuch over the top aur exaggerated hain.

Film ka minus, sab kuch itna zyaada over simplified hain ke vastavikta se koi connetion nahi.

Agar film mein kuch bhi normal- natural ya relatable hain, toh wo constable ke role mein Sunil Grover!

Shruti Hasan ka role chotta hain magar appealing hain aur Kareena Kapoor guest appearance mein glamour quotient laati hain.

1975 ki Sholay ka Gabbar daku tha. 2015 ka Gabbar villain nahi hero hain!

Wo Gabbar gaon walon ko darata tha, unka anaaj utha le jaata tha.

Ye Gabbar etablishment ko dhamkata hain aur sab ki himmat badhata hain!

Wo Gabbar Chambal ki pahadiyon mein chabuk barsaata tha…

Ye Gabbar shehar ki gulliyon mein gumnam ghumta hain…

Wo Gabbar ke dialogues aaj hum dohraatein hain.

Ye Gabar AmarPrem ke dialogue badalkar ikehta hain, “I hate Sorry”

Thodi melodramatic, zyaada violent aur kuch kuch romantic Akshay Kumar ki Gabbar Is Back ko Big Entertainment Ratings milte hain 2.5 stars.



No comments:

Post a Comment