Juhi Chaturvedi likhi aur Shoojit Sarcar directed Piku, kahani hain ek hypochodriach pita
Bhaskar Bannerjee yane Amitabh Bachchan, aur unki architect beti Piku, yaane
Deepika Paukone ki.
Bhaskar Bannerjee aur Piku apne wafadar sevak ke
saath Dilli ke Chitranjan Park mein rehte hain.
Piku subah se shaam, ghar, office aur baba ka khyaal
rakhti hain aur baba, subah se shaam, apna khyaal rakhte hain.
Director Shoojit Sarcar ne ab tak chaar filmein
banayin hain aur sabhi samajik mudein uthaati hain.
Saal 2005 ki Yahan
Kashmir ke baare mein thi…Saal 2012 ki Vicky
Donor infertility ke baare mein…Saal 2013 ki Madras CafĂ© Sri Lanka ke baare mein.
Saal 2015 mein
Piku motion aur emotion ke alava
medical/ transport/ senior citizen aur single women issuesko address karti
hain.
Teen bhasha - Hindi, Bengali aur Angrezi aur teen
shehar – Dilli, Benaras aur Kolkatta ka safar karti hui film ka plus: film ki refreshing
writing, sets, costume, director ki detailing aur teeno actors ki super timing
aur chemistry.
Bohat dekhli Romeo Juliet ki love stories, Piku baap beti ki prem kahani hain.
Bebaak pita Amitabh Bachchan, bezaar colleague Irfaan
Khan aur humara dil chalni karti hui Deepika Padukone.
Na ismein koi plot hain, na story progression, na
surprises aur na hi conflict.
Phir bhi, Pikku
rasili hain, nirali hain, sachi hain, aur aaj nahi toh kal, hum sab ki kahani
hain.
Piku
ko pet pakad ke hasane aur apni jado se mila ne ke liye Big Entertainment
Ratings milte hain 4 stars.
Bhawana Somaaya @bhawanasomaaya
No comments:
Post a Comment