Friday 1 March 2013

Cutting Chai with Bhawana Somaaya - Day 58

Documenting a tragedy
1.3.2013, Mumbai

Iss hafte ki release hain The Attacks of 26/11.

Iss vishay par bohat charcha ki gayi – bohat lekh likhe gaye hain – bohat saari chotti badi documentaries banayi gayi hain – aur haal hi mein TV par ek serial bhi chal raha hain -magar The Attacks of 26/11 pehli feature, theatrical release hain.

Pehle film ke plus points:

2008 ka ye aitihasik aur bhayanak haadsa document karna zaroori tha – aur Ram Gopal Varma ki iss himmat ke liye main unki data deti hoon.

Aam taurpar - aise vishayon par banayi filmein unintentionally exploitative ban jaati hain - Attacks of 26/11 realistic ke saath saath sensitive bhi hain.

Director RGVarma consciously har wo clichéd image – jaise jalta hua Taj Mahal Hotel ya line mein mare gaye honhaar police officers ko alag tarha se pesh karte hain...

Kaise sarhad paar kar ke terrorists ka Mumbai aate hain… Leopard Café/ CST Station par tabahi machate hain – jisse dekh kar aap ke raungte khade ho jate hain...!

Film ki kuch segments irritate karti hain – jaise Amar Mohile ka background score film ke first half mein bohat hi loud aur invasive hain.

Film ka narrative aur Nana Patekar ke lambe pauses artificial lagte hain.

Qasaab ki giraftari – interrogation - confession bohat swift aur simplistic hain.

Bohat saari baton ka jawab nahi milta - Qasaab ki lambi jail yatra – uske naqab ke peeche ka insaan -uska
gussa- badalna aur tootna – afsos ke Qasaab ko hum sirf dialogues ke dwara jaan paate hain!

Film single mindedly attacks par focus karti hain – haadse ke dauraan vakye - victims - police officers -unke
pariwar -shehar ke wasiyon –deshwasiyon -unki mansik stithi -political leaders aur unke tanav ko sideline kiya gaya hain .

Ye saari khamiyon ke bawajood The Attacks of 26/11 Ram Gopal Varma ki ek lambe arse ke baad bahtareen peshgi hain.

Film behad violent hain – aur beshumaar khoon kharaba bhi hain – magar ye sab hua hain- isliye dikhana bhi zaroori hain!

Aitiyaad rahe ki film disturbing hain – humare purane zakhmon ko ek baar phir taaza karti hain....

Iske bawajood saare Bharat vasiyon ko The Attacks of 26/11 dekhni chhiye. Ithihaas ko dohrana isliye zaroori hain - ke aise haadse phir kabhi na ho!!

The Attacks of 26/11 ko Big Entertainment Ratings milte hain 3.5 stars.

Bhawana Somaaya/ www.bhawnasomaaya.com

You can tune into the complete review on radio 92.7 Big FM over the week end.

No comments:

Post a Comment