Good performances but no fear or color
22.3.2013, Mumbai
Iss hafte 2 badi releases hain – Pehli horror – Aatmaa – doosri social –Rangrez.
Pehle baat karte hain Aatma ki - horror Genre mein - pariwarik aur samajik kahani hain jahan oppressor - ghar ke bahar nahi - ghar ke andar hain.
Film ki premise - casting – performances aur sandesh -abtak ki Ram Gopal Varma aur Vikram Bhatt ki horror filmon se bilkul alag hain.
Aatmaa darana ke saath - kuch aham muddein - jaise marital rape -child possession aur excessive violence uthati hain...
Film ka plus film ke supporting performances aur lead cast -Bipasha Basu aur khas taurpe – Nawauzzudin Siddiqui!!
Film ka minus – story ka restricted plot - locations aur sabse badi baat - no surprises at all!
Aatmaa ko Big Entertainment Ratings milte hain 3 stars !
********************************************************************
Priyadarshan ki Rangrezz peechle dus salon ki filmon ki tarha - ek aur teen doston ki kahani hain.
Rangrezz - Rishi -Pakkya aur Vinod ke sapne- aur unki zindagi ke uttar chadhav ki kahani hain.
Concept purana hain – magar kuch naya bhi – film mein ek enthusiasm, energy aur saath hi mein samaj ko badalne ki chetan hain.
Film ka plus - Jacki Bhagnani aur saare naye kalakar. – film ka minus film ka abrupt aur clumsy climax.
Director Priyardarshan ki khasiyat unke characters hote hain – iss baar bhi – aur hamesha ki tarha sb kuch inconsistent hota hain –woh bhi iss baar hain.
Rangrezz ko Big Entertainment Ratings milte hain 3 stars.
Bhawana Somaaya/ www.bhawanasomaaya.com
No comments:
Post a Comment