Entertainment Entertainment
Entertainment
16.05. 2014
Himesh Reshamiya likhi , aur
Anant Mahadevan directed, The Xpose filmi duniya ke kuch sache, aur kuch
fictionalized kisso par adharit kahani hain.
Ye daurr hain swinging 60s ka- lambi taar wale phones/Impala gaadiyaan/
alishaan theatres/ dusty studios/ rangili partiyaan/still cameramen aur sab se
badkar, theatre ke bahar 3 ka 5 bolne wale Black marketers ka.
Ek mashoor abhinetri chatt se
girkar ,atmahatya karti hain aur yahan se shuru hoti hain bohat saari kahaniyaan…
Film mein anginat characters
hain magar script sabhi characters ke saath insaaf karti hain.
Film ka plus - film ki
supporting cast jo jam ke apna jadu dikhate hain.
Ashish Gaikar ki super smooth editing
– pata hi nahi chalta Interval kab hota hain.
Film ka look, locations, super-hit
music aur sab se shreshth, Bunty Rathore ke hilarious dialogues – agar isse nahi
suna toh kuch nahi suna!
Inke alava naye avtaar mein Yo Yo Honey Singh
aur do ubharti, khupsurat heroines Zoya Afroz aur Sonali Raut.
Graveyard se shuru hoti, Paris
ki sham mein khatam hoti The Xpose super confident Himesh Reshamiya aur uske super attitude ka pradarshan hain!
Jiss tarha se Salman Khan ki
filmein sirf Salman Khan ki hoti hain, ussi tarha se Himesh Reshamiya ki film bhi
sirf Himesh Reshamiya ki hoti hain.
Isliye logic/ facts/ sensibility
ko maro goli aur maza lijiye director Anant Mahadevan ka parosa entertainment,
entertainment aur entertainment!
The Xpose ko iss surprise packet
ke liye Big Entertainment Ratings milte hain 3 stars.
Bhawana Somaaya/@bhawanasomaaya
No comments:
Post a Comment