Chasing a dream
9.5.14
Deepa
Bhatia produced, Amol Gupte likhi/ directed Hawa
Hawai Mumbai ke street children ki kahani hain.
Ye
Amol Gupte ki bachon ke vishay par teesri kadi hain…
Pehli,
2007 mein likhi Taare Zameen Par jo Dyslexia ke baare mein thi.
Doosri,
2011 mein directed Stanley Ka Dabba
jo bachon ke lunch box ke baare mein thi.
Aur
ab 2014 mein Hawa Hawai, jo bachon ke
sapne ke baare mein hain.
Pita
ke guzar jaane par Arjun Harishchandra Waghmare aur uska pariwar gaon chodkar, shehar
ki tang galiyon mein bass jaate hain.
Arjun
subah se shaam sab ko chai pilata hain aur raat dhale, badi gaadiyon se utarkar
jab amir bache Lucky sir se skating
seekhte hain, tab issi jhilmilati roshni talle, Arjun bhi ek sapna dekhta hain…
Arjun
ka sapna purra karte hain uske chaar dost Ashfaque/ Salman/Maaman aur Tirupati.
Film
ka har perrformance, Neha Joshi, Anuj Sachdeva, Saleem Saqib, hero Partho aur
uske chaaron dost extraordinary hain.
Jiss tarha se ek nipun skater haule se, apna
balance jamata hain, director Amole Gupte apni creative/ technical team ko
saath lekar iss sapne ko sache cheron se sajakar, rishton ki jhalar mein
bandhte hain.
Hawa
Hawai se behtar iss summer vacation mein bachon aur bachon ke maa baap ke
liye behtar tohfa nahi ho sakta!
Film
ke poster pe likha hain- ‘Kuch sapne sone nahi dete’…Main kahungi ‘Kuch filmein
sone nahi deti…’
Hawa Hawai bhi
dher saara pyaar ke saath Big Entertainment Ratings milte hain 4 stars.
True story
Sumeet aur Neelam produced/
Sandeep Varma directed Manjunath
Lucknow ki oil company se jude ek brilliant IIM
graduate ki kahani hain.
Jab Manjunath
ko pata chalta hain ki petrol ko kerosene mein milakar ghotala kiya ja raha
hain, wo Uttar Pradesh ke saare petrol pumps bandh karane lagta hain!
Satya ghatna par
adharit Manjunath wo sainkdo IIM
graduates ki kahani hain jo bahtar zindagi ki chaah mein apne ussulon se
samjhauta kar lete hain.
Film ki neeyat nek hain
aur prayog imaandar, film ka treatment subject ke liye anokha hain aur message
serious!
Film ka minus overstretched
plot jiski wajah se film burri tarha se bikhar jati hain.
Manjunath ko aaj
ki yuva peedhi ko prerit karne ke liye Big Entertainment Ratings milte hain 2
stars.
Bhawana Somaaya/ Tweets @bhawanasomaaya
No comments:
Post a Comment