'Heropanti' disappoints 'Kochadaiyaan' shines!
23.5.2014
Sajid Nadiadwala produced aur Shabir Khan directed Heropanti Haryana ke honour killings ki kahani hain.
Jaat biradri ke mukhiya Prakash Raj ki badi beti shaadi ke
mandap se bhaag jaati hain.
Bhaagi hui ladki ki
talash mein Prakash Raj aur uska pariwar sainkdo laashe bichane ko taiyaar ho
jaate hain.
Kuch ke saath khoon kharaba karte hain, aur kuch ko ghar par
bandi bana lete hain.
Iss tannav bharre vatavaran mein chupke se palti hain ek aur
prem kahani…
Dimpy yaane Kirti
Sanon aur Babloo yaane Tiger Shroff ki…!!
Film ka subject/treatment old fashioned hain aur second half
unduly overstretched bhi.
Film ka music below average hain aur characterizations
unrealistic -Aisa gaon jahan ladkiyon ko
bezuban mana jaata hain, film ki heroine
buzurgo ke samne kamar dikhati ghumti
hain.
Film ka plus Anal Arasu ke stunts, film ka message aur
debutant Tiger Shroff –jo pehli hi film mein action/ drama/ romance/ dance/ sab
kuch karta hain!
Heropanti ko Big Entertainment Ratings
milte hain 2 stars.
**
Eros International produced aur Soundarya Rajnikanth
directed Kochadaiyaan bade maharaja
aur bahdaur senapatiyon ki kahani hain.
Ek chotta bacha, raat ke andhere mein, toofani samandar mein
kood jaata hain…
Kismet usse nayi manzil
tak pohchati hain aur uska apna junoon, usse bada hokar, uss nagri ka senapati
banata hain!
Aisi raja-mahrajaon ki kahaniyaan humne bachpan mein bohat padhi
hain magar writer KS Ravikumar ki iss sadharan kahani ko asadharan banati hain film
ki animation aur technical team!
Film ka sound,
stunts, choreography, costumes aakarshak hain
khaas taurpe Ravi Menon ki cinematography aur AR Rahman ka music.
South stars Shobhana
aur Nasser ke alava ismein hain Rajkumari Vandana ki bhumika mein Deepika
Padukone aur apna charishma dikhate hue ek nahi do Rajnikanth.
Jiss tarha se cinema
pehle Silent aur Black & White thi aur aage chalkar Talkie aur Color bani,
ussi tarha se animation filmein bhi, pehle 2D phir 3D aur Hollywood film Avataar ke baad nayi technology ka
prayog kar rahi hain.
Ismein ghodde udte hain…Paanchi tairte hain… aur deepika
morr ke saath naachti hain…
Kayi bhashao mein release ki gayi Kochadaiyaan Hindustan ki pehli Photo Realistic Performance Capture film hain…
Ye shayad pehli Rajnikanth ki film hain jahan wo kya bolte
hain ya kya karte hain se zyada kaise
karte hain, zyada maine rakhta hain!
Director Soundarya Rajnikant ko, Indian
cinema ke 101 ve saal mein, iss naye
prayog ke liye
Kochadaiyaan ko Big
Entertainment Ratings milte hain 3.5 stars.
Bhawana Somaaya/ Tweets @bhawanasomaaya
No comments:
Post a Comment