Iss hafte do releases hain: Pehli, period film Muzzaphar Ali ki Jaanisaar. Doosri, naye director
Karan Anshuman ki comedy film Bangistaan.
Jaanisaar 1876 mein basse, ek raja aur tawaif ki prem kahani hai aur saath mein bagawat ki kahani bhi.
Bangistaan kalpanik duniyamein alag dharam aur dushman desh ke beech vichar vivaad hai.
Jaanisaar ka plus, uss daur ke khoobsurat costumes, classical nritya aur sangit aur khaas taurpe
nawabi tehzeeb.
Jaanisaar ka minus, film ki kahani jisme na jaan hai na sar aur usse bhi bada minus, film ke lead
performances.
Bangistaan ka plus Jaqualine Fernandes aur uss se bhi bada plus, Ritesh Deshmukh jo har film
aur har bhumika mein dependable hai.
Bangistaan ka minus, Ritesh Desmukh aur Jaqueline Fernandes ke alava sab kuch!
Yakeen nahi aata, ki 80 ke dashak mein Umra O Jaan jaisi bahtareen film bana ne wale director Muzzaphar Ali, 2015 mein Jaanisaar jaisi bejaan film pesh kar sakte hain.
Yakeen nahai hota, ki Dil Dhadak ne Do jaisi contemporary film bana ne wale producer Reitesh
Sidhwani, Bangistaan jaisi film produce karne ki bhi sahas rakhte hain.
Dono film, Jaanisaar aur Bangistaan ko, Big Entertainment Ratings milte hain 2 stars.
Bhawana Somaaya/ @bhawanasomaaya
No comments:
Post a Comment