Friday, 28 August 2015

Phantom is about changing mind set - DAY 648


Kabir Khan likhi directed Phantom 26/11 ko Mumbai par kiye gaye terror attacks ki dastaan dohrrati hain.

Saat saal baad, jab Taj Hotel aur CST Station ki tooti imaratein aur sheshe phir se jod diye gayein hain Mumbai shehar ka zakhmi dil ab bhi ghayal hain...

Phantom Mumbai ke wo dard aur desh ne sahi zillat ki dava hain.

Author Hussain Rizvi ki kitab Mumbai Avengers par adharit aur Parveez Sheikh-Kausar Munir ke shabdon mein sajji, ye kahanai hai expelled army officer Daniyal/ Saif Ali Khan ke khoye swabhiman ki.

Film ka plus: Alag continents ke refreshing locations, realistic characters aur film ki script aur location detailing.

Film ka minus: Film ki dull storytelling aur inconsistent pacing.

Katrina Kaif sundar hai aur Saif Ali Khan sincere. Film ka best performance Raw Agent Alok yaane Rajesh Teilang ka hai. Agar se bhi kuch behtar hai, toh director Kabir Khan ka hausla..!

Kabul Express aur NewYork ke baad Phantom Kabir ki teesri terror vishay par film hain aur iss baar, Khan Bajrangi Bhaijaan ki tarha dushman se dosti ka haath nahi, zulm ka muh tod jawab dete hain..!!

Mana ki Phantom Kabir ki peechli filmon jaisi emotional ya effective nahi, magar zyaada mushkil aur bahdur hai.

Bachpan mein hum sabne Phantom Comics padhi thi – aur kabhi na kabhi uss bahdur hasti ko milna chaha tha.

Director Kabir Khan hume apne andar ke Phnatom se milate hain. Phantom koi hasti nahi, ek soch hai…Jisse badalne ka ab samay aa gaya hai!

Phantom ko iss nek irade ke liye Big Entertainment Ratings milte hai 3.5 stars.

Bhawana Somaaya/ @bhawanasomaaya







7 comments: