Sanjay
Gupta produced/ directed Jazbaa kahani hai
criminal lawyer Anuradha Verma ki jo apni kidnapped beti ko bachane ke
liye ek criminal ka case ladti hai.
Film ka
minus film ka pace. Bohat saare action aur bhag daud ke bawajood, kahani humein
jakad kar nahi rakhti.
Kuch
characterization mein kammi hai aur kuch scenes over the top hai, jaise Irfaan khan
aur Aishwarya Rai ka beech sadak, rona aur cheekhna chilana!
Shabana
Azmi complex role mein convincing hai aur
pehli baar action role mein dikhne wali Aishwarya Rai, nirali!
Film ka
plus, Mumbai shehar ki gulliyaan/ flyover aur sealink, jo iske pehle, kabhi
itne harre aur haseen nahi lage.
Film
sahi galat ka prashna uthati hai, ye alag baat hai, ke sabhi characters sahi
galat ka faisla nahi kar paate.
Writer
Kamlesh Pandey ke dialogues Jazbaa ki
shaan hai aur dono, criminal aur maa ke saath nyay karte hain.
Pandey
neend ko ‘mashuka’ aur mohabbat ko ‘umeed’ ka darjja dete hai.
Jazbaa ko Big Entertainment Ratings
milte hai 2.5 stars.
@bhawanasomaaya
No comments:
Post a Comment