Vishal
Bharadwaj likhi aur Meghana Gulzar directed Talvar
saal 2008 ke Noida double murder case ki kahani hai.
Issi
case par issi saal, ek aur film release hui thi, Manish Sharma ki Rahasya aur jahan Rahasya ne iss ghatna ko ek kalpnik kahani ki tarha pesh kiya, director
Meghana Gulzar ki Talvar newspaper
headlines aur TV par hue vivaad ko dohrati hai.
Film ka
plus film ka detailed research aur engaging screenplay.
Talvar police, kanoon, media, CBI sab
ko lekar sawal uthati hai.
Director
Meghana Gulzar chotte se chotte scene aur kirdaar ko ahmiyat deti hai aur sab
se badi baat, audience ko underestimate nahi karti.
Filhaal, Just Married aur Dus
Kahaiyaan ke baad, Talvar Meghana
ki sabse mushkil aur mature film hai!
Hero Irfaan
Khan film ki jaan hai aur jab wo screen par hai aap kissi aur par nazar nahi
daal sakte ho.
Special
appearance mein Tabu, haule se kahani mein shamil hoti hai aur Chupke se aapka
dil chura leti hai.
Lyricist
Gulzar ka sirf ek gaana hai magar aap ko jhanjhod ne ke liye kaafi hai.
Talvar dekhni chahiye, ye samajh ne ke
liye, ke jab tak, humara zameer nahi jaagegae, tab tak, kuch bhi nahi badlega!
Sensitive,
thought provoking, hard hitting Talvar
ko Big Entertainment Ratings milte hai 3.5stars.
**
Prabhu
Deva directed Singh Is Bling, hero
Raftar Singh ke kisson ki kahani hai.
Jab film
Punjab ke chotte gaon mein shuru hoti hai aur Raftar/ Akshay Kumar, kabhi oonto
ke saath daudta hai, aur kabhi naachte ghodon ke beech mele mein gana gaata hai,
toh hum maan kar chalet hai ki ye masti bhari feel good film hai.
Jab
Akshay ke pita uski harkaton se tang aakar, usse apne dost, Kirpal Singh ke
paas, naukri ke liye Goa bhejte hai aur Kirpal Singh Akshay ko Amy Jackson ke
body guard ki duty dete ha, tab Lara Dutt hume samjhati hai ki ye toh comedy
film hai.
Aur Romania
mein jab film ka villan, K.K.Menon, aate jaate, yuhin laashe bichata hai aur Goa
mein, Amy Jackson apne stunts ke jalwe dikhati hai, tab khulasa hota hai ki asal
mein ye feel good/ comedy film nahi stylized action film hai.
Akshay
ko Angrezi nahi aati aur Amy ko Hindi nahi aati, iske bawajood, dono Punjab ki
hariyali mein romance karte hai tab humari galat faimi door hoti hai ki ye
action film nahi unusual love story hai.
Climax
mein Akshay, Amy Jackson ke bichde pariwar ko milate hai aur kaafi rona dhona
hota hai tab hum phir se confuse ho jaate hai ki ye toh serious family drama
film hai.
Sach toh
ye hai, ki director Prabhu Deva kisi genre/ sandesh/ kahani ke mohtaaj nahi
hai.
Amy Jackson ke action ko Akshay Kumar ki rang-birangi paghdiyon ko
khubsoorat locations mein sajakar, director ka irada saaf hai: Balle Baale
naachna!
Singh Is Bling ko Big Entertainment Ratings
milte hai 2 stars.
@bhawanasomaaya
No comments:
Post a Comment