Friday 16 October 2015

Pyaar ka Panchnama 2 LOL - DAY 679

Luv Ranjan likhi/directed Pyaar ka Panchnama 2 saal 2011 ki Pyaar ka Panchnama ka sequel hai.


Pyaar ka Panchnama, teen dost, Chauka, Kartik aur Thakur ki dosti aur apne apne pyaar ki talash ki kahani thi.

Pyaar ka Panchnama 2 unki aur bhi gehri dosti aur phir se pyaar ki talash ki kahani hai.


Iss baar, Chauka, Kartik aur Omkar college boys nahi working boys hain, isliye wo thode kum sharrarati aur thode zyaada zimeedaar hain.


Film ka plus, film ki adhunik writing, sharp editing aur natural dialogues...


Film ka bada plus, film ka mauhaal aur engaging performances.


Director Luv Ranjan, ek samma bandhte hai aur apne actors ko mohabbat se pesh karte hain aur saare actors bhi unke vishwas par khare utarte hain.


Pyaar ka Panchnama 2 ka minus bas itna hi, ke kahani ek baar phir, male perspective pesh karti hai, jo mere hisab se ladkiyon ke saath na-insaafi hai.


Doosra, yahan pyaar aur pyaar ke alava koi bhi baat hoti hain!


 Pyaar ka Panchnama 2 dekhni chahiye, usse jo relationship mein hai, usse jiska breakup ho gaya hai aur usse bhi, jo relationship mein jaanewale hain ya jiska breakup hone wala hain.


Rochak aur manoranjak Pyaar ka Panchnama 2 ko Big Entertainment Ratings milte hai 3.5 stars.


@bhawanasomaaya





No comments:

Post a Comment