Friday, 13 September 2013

Cutting Chai with Bhawana Somaaya - Day 191


John Day – excessively violent

13.9.2013, Mumbai




Anjum Rizvi produced aur A Solomon directed John Day mein ek ladki apne maa-baap ko jhoot bolkar apne boyfriend ke saath  sunsan jagah par weekend manane jaati hain.
Wahan par ladki ka qatal ho jaata hain aur uske maa baap ki zindagi bikhar jaati hain.
Kuch saal baad ladki ka pariwar ek aur haadse se guzarta hain aur iss baar, ladki ke pita, yaane Naseerudin Shah apni beti ke maut ka badla chahta hain...
Producer ki pichli film A Wednesday ke muqable mein John Day ka pace aur premise kamzor hai aur sabse badi baat - khoon se lathpath aur excessively violent hai.
Kahani unconvincing hai, motive unjustified aur characters exaggerated. Naseerudin Shah akela pure system aur goondo se jhunjhta hain jo illogical hai.
Film ka plus sirf Naseerudin Shah aur chotte role mein Shernaz Patel hain aur ye do kalakaron ke liye John Day ko Big Entertainment Ratings milte hai 2 stars.
 

***********************************************************************

Grand Masti – excessively vulgar


  Producer Ashok Thakeria aur director Indra Kumar ki Grand Masti unki peechli film Masti ka sequel hai.

Meet, Prem aur Amar aise college mein padhte hain jahan A se Apple nahi, B se Ball nahi aur C se Cat nahi kuch aur hi hota hain.
Iss college ki ladkiyaan campus mein biknis pehanti hai, fountain mein bhigti hai aur principal apne kandhe par kala kauwwa lekar ghumte hain.
Graduation ke baad Meet yaane Vivek Oberoi private firm mein apni biwi ke subordinate hain isliye thode shaquii hain.
Amar yaane Aftab Shivdasani joint family mein hain isliye patni ke attention ke liye hamesha taraste hai.
Amar yaane Ritesh Desmukh naye naye pita bane hain isliye zimmewariyon se kuch bezaar hain.
Teenon ki zindagi mein umang jagti hai jab unko college reunion ke liye bulaya jaata hain.
Dhai ghante ki iss adult comedy mein, ek bhi aisa scene / dialogue / lyrics /camera movement / story situation / cinematic moment/ actor expression nahi hai jo ashleel aur apmaanjanik na ho!!
Grand Masti excessively crude, offensive aur vulgar hain, kisi bhi tarha se family viewing ke yogya nahi hai.
Grand Masti ko teeno heroes ke liye Big Entertainment Ratings milte hai 1 star.




Bhawana Somaaya / @ bhawanasomaaya  
 
 

No comments:

Post a Comment