Friday, 20 September 2013

Cutting Chai with Bhawana Somaaya - Day 196



Delicious Lunchbox

20.9.2013, Mumbai 


 Iss hafte do releases hai aur dono alag mijaaz ki.
Ritesh Batra likhi/ directed The Lunchbox Basu Chatterjee ki 70 aur 80 ke dashak ki filmon ki yaad dilati  hain.
Ila yaane Nimrat apne pati ke office har roz tiffin bhejti hain aur pati iska kabhi zikar nahi karte, balke tiffin zyadatar bhara hua ghar wapas aata hai.
Ek din tiffin bilkul khaali ata hai – aur yaha se shuru hoti hai do ajnabee ke beech ek anokhi kahani.
 Ek aisi kahani jisme khane ki khushboo ke saath zindagi aur rishton ke rang bhar jaate hain.
Lunchbox ka hum kai tarha se varan kar sakte hai – ye bade shehron mein basse anginat, akele, uddaas logon ki kahani hai.
Ye chamakte shehar ki aapadhaapi ka aina hain. Mumbai Railway aur Tiffin service ka salaam hain aur rasoi vyanjan ka bhandaar hain
Ismein Nawauddin ki mithas hain, Irfaan Khan ki khattash, Nimrat ka teekhapan aur director ka tadka hain!!
Kehte hai ki too many cooks spoil the broth, magar 21 producer ka milkar banaya hua ye Lunchbox behad swadisht aur sampoorna aahar hain!!
The Lunchbox ko Big Entertainment Ratings milte hain 3.5 stars.

*****************************************************************

Torn poster


Raj Kumar Santoshi likhi, directed Phata Poster Nikla Hero ek aisi maa yaane ki kahani hai jo apne bête ko police inspector banana chahti hain.
Beta police inspector banta hain – magar filmon mein!
Film ka premise outdated hain- wohi don, bomb blast, aur villain ka imaginary mission.
Characterizations old fashioned hain - Padmini Kolhapure Nirupa Roy bani hai jisse Ileana maaji pukarti hain aur Vishwas yaane Shahid Kapoor kal ke Vijay yaane Amitabh Bachchan bane hain.
 Film patchy hai, production values poor hain, lambi/ unengaging hai jisme gaano ka story se connection nahi aur comedy ka serious track se!
Raj Kumar Santoshi ne Ajab Prem Ki Gajab Kahani, apni 90s ki film Andaaz Apna Apna ke style mein banayi gayi thi aur iss baar Phata Poster Nikla Hero Ajab Prem Ki Gajab Kahani ki naqal  hai.
Behtar hota agar poster phatne ke baad kuch original nikalta.
PPNH ko Shahid Kapoor aur cameo mein Salman Khan ke liye Big Entertainment Ratings milte hai 2 stars.
 

No comments:

Post a Comment