Review
Chod Na Yaar
11.10.2013,
Mumbai
Faraz Haider likhi/direct ki gayi War Chod Na Yaar Hindustan ki pehli war
comedy film hain.
Iske pehle
cinema mein jung ko hamesha seriously pesh kiya gaya hain.
Uss nazariye se War
Chod na Yaar ek milestone film hain
aur iss prayas mein shamil hain teen bahtareen kalakar:
Hindustan ke commander ki bhumika mein Sharman
Joshi. Pakistan ke commander ki bhumika mein Jaaved Jaffrey aur electronic
media ki war reporter ki bhumika mein Soha Ali Khan.
Border par filmayi gayi iss film mein dono deshon ke
commanders loudspeaker par ek doosre ka haal poochte hain, khane
ka menu discuss karte hain aur shaam dhale fence ke aar paar paate khelte
hain!
Kabhi kabhi wo antakshari bhi khelte hain – jab Pakistan sipahi utsah mein aakar ‘I love my India…’
bhi gaa lete hain aur ye film ki highlight hain!!
Ye war film mein, bullet /firing /jungle/bunker/
bombs/ media/ politics/jassos, sab kuch
hain, magar vyang mein!
Afsos ke ye vyang na hume puri tarha se hasata hai
na gussa dilata hain!
Kahani mein kuch emotional moments bhi hain - jab
dono taraf ke sipahee jung ke khilaaf aham muddein uthate hain.
Film ki niyat nekk hain magar treatment uneffective
aur solution simplistic.
Sirf ek din aur do raat mein – jung ka ailaan bhi
hota hain aur samadhan bhi!
TV ki duniya mein breaking news bhi hoti hain
aur scam expose bhi!
War
Chod Na Yaar ko Bhais
Chod Na Yaar bhi keh sakte hain.
Iss film ko Big Entertainment Ratings milte hain 2
stars.Bhawana Somaaya/ @bhawanasomaaya
No comments:
Post a Comment